miTTi ka git
miTTī ke sab rang anokhe sab dīvāne miTTī ke
miTTī ke sab khel khilāḌī na.e purāne miTTī ke
miTTī kī ye sundar kaayā miTTī kī hī saarī maayā
kankar patthar sonā chāñdī solah aane miTTī ke
miTTī ke sab chehre-mohre miTTī ke sab nange paañv
miTTī kī ye zulfeñ ghanerī sab ke shāne miTTī ke
miTTī kī nannhī sī kyārī miTTī kī mahkī phulvārī
miTTī ke ye phuul ye kaliyāñ sab ke dahāne miTTī ke
miTTī ke sab khet hamāre miTTī kī pagDanDī bhī
miTTī ke hariyāle paude daane daane miTTī ke
miTTī ke sab panghaT apne miTTī kī sab sakhiyāñ
miTTī ke chamkīle gagre kaun ye jaane miTTī ke
miTTī kī maañ bahneñ apnī miTTī ke haiñ bachche-bāle
jhūlā jhūleñ sab miTTī kā sab ke tarāne miTTī ke
miTTī kī sī mohnī sūrat miTTī kī ye apnī guḌiyā
miTTī ke sab dul.han dūlhā tāne-bāne miTTī ke
miTTī ke sab daadī daadā miTTī ke sab naanī naanā
miTTī ke sab āñkhoñ vaale andhe kaane sab miTTī ke
miTTī ke sab mahal do-mahle miTTī kī chhoTī sī kuTiyā
miTTī ke sab ye diye ye sham'eñ sab parvāne miTTī ke
miTTī kī sab galiyāñ apnī miTTī ke sab gaañv hamāre
miTTī ke sab shahr base haiñ sab vīrāne miTTī ke
miTTī ke sab sāqī-o-dilbar miTTī ke sab shīsha-o-sāġhar
miTTī ke sab jām-o-subū haiñ sab paimāne miTTī ke
miTTī ke sab devtā devī miTTī ke sab girjā masjid
kyā siitā kyā kaalī maatā sab afsāne miTTī ke
miTTī kī mīThī sī bansī miTTī kī chanchal rādhā
miTTī se kirshan kanhaiyyā sab ke gaane miTTī ke
miTTī kā bāzār lagā hai kore kore se bartan
kis kī surāhī kis kā pyāla sab paimāne miTTī ke
miTTī ke chūlhe par nāche soñdhī roTī miTTī kī
jo kuchh chakkī chaak meñ piise daane daane miTTī ke
miTTī kī ḳhushbū meñ basā hai miTTī kā ye zarra zarra
miTTī ko miTTī hī pukāre hīle-bahāne miTTī ke
jhan-jhan jhan-jhan jhan-jhan bajtī kauḌī miTTī kī
khan-khan khan-khan giit sunāte aane aane miTTī ke
taak dhinnā-dhin taak dhinnā-dhin bolā tabla miTTī kā
nācho nācho nācho nācho sab raqsāne miTTī ke
dhamā-dhamā dhū dhamā-dhamā dhū dhamkā miTTī kā tāñDav
us ke pīchhe yaahū yaahū sab mastāne miTTī ke
dhaḌ-dhaḌ dhaḌ-dhaḌ dhaḌak rahī hai har har chhātī miTTī kī
sarsar sarsar sarak rahe haiñ saare shāne miTTī ke
miTTī miTTī miTTī baaje baaje kuuch kā naqqārā
ghar chal ghar chal ghar chal ghar chal o man-māne miTTī ke
miTTī miTTī miTTī miTTī miTTī lorī gaatī hai
so jā so jā so jā so jā o dīvāne miTTī ke
miTTī kī chādar meñ chhupeñge qabr banegī miTTī kī
sab miTTī meñ mil jā.eñge ḳhatm fasāne miTTī ke
ḳhatm fasāne miTTī ke
miTTi ke sab rang anokhe sab diwane miTTi ke
miTTi ke sab khel khilaDi nae purane miTTi ke
miTTi ki ye sundar kaya miTTi ki hi sari maya
kankar patthar sona chandi solah aane miTTi ke
miTTi ke sab chehre-mohre miTTi ke sab nange panw
miTTi ki ye zulfen ghaneri sab ke shane miTTi ke
miTTi ki nannhi si kyari miTTi ki mahki phulwari
miTTi ke ye phul ye kaliyan sab ke dahane miTTi ke
miTTi ke sab khet hamare miTTi ki pagDanDi bhi
miTTi ke hariyale paude dane dane miTTi ke
miTTi ke sab panghaT apne miTTi ki sab sakhiyan
miTTi ke chamkile gagre kaun ye jaane miTTi ke
miTTi ki man bahnen apni miTTi ke hain bachche-baale
jhula jhulen sab miTTi ka sab ke tarane miTTi ke
miTTi ki si mohni surat miTTi ki ye apni guDiya
miTTi ke sab dulhan dulha tane-bane miTTi ke
miTTi ke sab dadi dada miTTi ke sab nani nana
miTTi ke sab aankhon wale andhe kane sab miTTi ke
miTTi ke sab mahal do-mahle miTTi ki chhoTi si kuTiya
miTTi ke sab ye diye ye sham'en sab parwane miTTi ke
miTTi ki sab galiyan apni miTTi ke sab ganw hamare
miTTi ke sab shahr base hain sab virane miTTi ke
miTTi ke sab saqi-o-dilbar miTTi ke sab shisha-o-saghar
miTTi ke sab jam-o-subu hain sab paimane miTTi ke
miTTi ke sab dewta dewi miTTi ke sab girja masjid
kya sita kya kali mata sab afsane miTTi ke
miTTi ki miThi si bansi miTTi ki chanchal radha
miTTi se kirshan kanhaiyya sab ke gane miTTi ke
miTTi ka bazar laga hai kore kore se bartan
kis ki surahi kis ka pyala sab paimane miTTi ke
miTTi ke chulhe par nache sondhi roTi miTTi ki
jo kuchh chakki chaak mein pise dane dane miTTi ke
miTTi ki KHushbu mein basa hai miTTi ka ye zarra zarra
miTTi ko miTTi hi pukare hile-bahane miTTi ke
jhan-jhan jhan-jhan jhan-jhan bajti kauDi miTTi ki
khan-khan khan-khan git sunate aane aane miTTi ke
tak dhinna-dhin tak dhinna-dhin bola tabla miTTi ka
nacho nacho nacho nacho sab raqsane miTTi ke
dhama-dhama dhu dhama-dhama dhu dhamka miTTi ka tanDaw
us ke pichhe yahu yahu sab mastane miTTi ke
dhaD-dhaD dhaD-dhaD dhaDak rahi hai har har chhati miTTi ki
sarsar sarsar sarak rahe hain sare shane miTTi ke
miTTi miTTi miTTi baje baje kuch ka naqqara
ghar chal ghar chal ghar chal ghar chal o man-mane miTTi ke
miTTi miTTi miTTi miTTi miTTi lori gati hai
so ja so ja so ja so ja o diwane miTTi ke
miTTi ki chadar mein chhupenge qabr banegi miTTi ki
sab miTTi mein mil jaenge KHatm fasane miTTi ke
KHatm fasane miTTi ke
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 114)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.