SEARCH RESULTS
Showing search results for "naadaanii"
Sher MATCHES FOR "naadaanii"
Sher
dil paagal hai roz na.ii naadaanii kartaa hai
aag me.n aag milaataa hai phir paanii kartaa hai
Iftikhar Arif
Sher
justujuu karnii har ik amr me.n naadaanii hai
jo ki peshaanii pe likkhii hai vo pesh aanii hai
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ye naadaanii nahii.n to kyaa hai 'daanish'
samajhnaa thaa jise samjhaa rahaa huu.n
Madan Mohan Danish
Sher
is tarah hosh ga.nvaanaa bhii ko.ii baat nahii.n
aur yuu.n hosh se rahne me.n bhii naadaanii hai
Mustafa Zaidi
Sher
ik mohabbat hii pe mauquuf nahii.n hai 'taabish'
kuchh ba.De faisle ho jaate hai.n naadaanii me.n
Abbas Tabish
Sher
Fasih Akmal
Sher
kho ke dil meraa tumhe.n naahaq pashemaanii hu.ii
tum se naadaanii hu.ii yaa mujh se naadaanii hu.ii
Jaleel Manikpuri
Sher
saare shikve duur ho jaa.e.n jo qudarat sau.np de
merii daanaa.ii tujhe aur terii naadaanii mujhe
Sarfaraz Shahid
Sher
Akhtar Abdur Rasheed
Sher
ishq kiyaa to apnii hii naadaanii thii
varna duniyaa jaan kii dushman kab hotii hai
Fay Seen Ejaz
Sher
baat ba.Dhtii ga.ii aage mirii naadaanii se
kitnaa arzaa.n hu.aa mai.n apnii faraavaanii se
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
hamaarii dekhiyo Gaflat na samjhe vaa.e naadaanii
hame.n do din ke bahlaane ko umr-e-be-madaar aa.ii
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Moid Rasheedi
Sher
Fakhruddin Khan Mahir
Sher
yaad us kii itnii KHuub nahii.n 'miir' baaz aa
naadaan phir vo jii se bhulaayaa na jaa.egaa