SEARCH RESULTS
Showing search results for "naalo.n"
Sher MATCHES FOR "naalo.n"
Sher
mere naalo.n me.n asar ho ye zaruurii to nahii.n
har shab-e-Gam kii sahar ho ye zaruurii to nahii.n
Nusrat Hashmi
Sher
momin mai.n apne naalo.n ke sadqe ki kahte hai.n
us ko bhii aaj nii.nd na aa.ii tamaam shab
Momin Khan Momin
Sher
na KHauf-e-aah buto.n ko na Dar hai naalo.n kaa
ba.Daa kaleja hai in dil dukhaane vaalo.n kaa
Jalal Lakhnavi
Sher
Hafeez Merathi
Sher
zindagii bhii mire naalo.n kii shanaasaa niklii
dil jo TuuTaa to mire ghar me.n ko.ii sham.a jalii
Khalilur Rahman Azmi
Sher
jab mai.n rotaa huu.n to allaah re ha.nsnaa un kaa
qahqaho.n me.n mire naalo.n ko u.Daa dete hai.n
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
kuchh milte hai.n ab puKHtagi-e-ishq ke aasaar
naalo.n me.n rasaa.ii hai na aaho.n me.n asar hai
Asghar Gondvi
Sher
mire daaGo.n se jalne kaa sabaq letaa hai parvaana
mire naalo.n se bulbul siikhne fariyaad aatii hai
Jaleel Manikpuri
Sher
Ganiimat buujh leve.n mere dard-aaluud naalo.n ko
ye diivaana bahut yaad aa.egaa shahrii Gazaalo.n ko
Wali Uzlat
Sher
ro diye fariyaad par merii butaan-e-sang-dil
mere naalo.n se pighal kar mom patthar ho ga.e
Sher Singh Naaz Dehlvi
Sher
dhuum naalo.n ne yahaa.n tak to machaa.ii hai 'sharar'
baKHt-e-KHufta ko dil-e-zaar ne sone na diyaa
Ali Bakhsh Sharar
Sher
mere naalo.n kii jo aavaaz pahu.nch jaatii hai
ghar se baahar nikal aate hai.n pareshaa.n ho kar
Nwab Saif Ali Sayyaf
Sher
gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohde the
bahut talaash kiyaa ko.ii aadmii na milaa
Bashir Badr
Sher
ik ajab aamad-o-shud hai ki na maazii hai na haal
'jaun' barpaa ka.ii naslo.n kaa safar hai mujh me.n
Jaun Eliya
Sher
bandish-e-alfaaz ja.Dne se nago.n ke kam nahii.n
shaa.irii bhii kaam hai 'aatish' murassa-saaz kaa