SEARCH RESULTS
Showing search results for "naam-ba-naam"
Sher MATCHES FOR "naam-ba-naam"
Sher
do KHat ba-naam-e-zauja-o-jaanaa.n likhe magar
dono.n KHato.n kaa us se lifaafa badal gayaa
Aziz Faisal
Sher
ba-naam-e-amn-o-amaa.n kaun maaraa jaa.egaa
na jaane aaj yahaa.n kaun maaraa jaa.egaa
Naseem Sahar
Sher
ba-naam-e-ishq ik ehsaan saa abhii tak hai
vo saada-lauh hame.n chaahtaa abhii tak hai
Shahram Sarmadi
Sher
Shah Naseer
Sher
sab apne apne tariiqe se bhiik maa.ngte hai.n
ko.ii ba-naam-e-mohabbat ko.ii ba-jaama-e-ishq
Abid Wadood
Sher
vo ik suKHan hii hamaarii sanad na ban jaa.e
vo ik suKHan jo tumhaarii sanad nahii.n rakhtaa
Ata Turab
Sher
vo zahr detaa to sab kii nigah me.n aa jaataa
so ye kiyaa ki mujhe vaqt pe davaa.e.n na dii.n
Akhtar Nazmi
Sher
tirii nigaah mudaavaa na ban sakii jin kaa
tirii talaash me.n aise bhii zaKHm khaa.e hai.n
Khurshid Ahmad Jami
Sher
chaman pe bas na chalaa varna ye chaman vaale
havaa.e.n bechte niilaam ra.ng-o-buu karte
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
merii taariif kare yaa mujhe bad-naam kare
jis ne jo baat bhii karnii hai sar-e-aam kare