SEARCH RESULTS
Showing search results for "naama-bar"
Sher MATCHES FOR "naama-bar"
Sher
naama-bar ko.ii nahii.n hai to kisii lahr ke haath
bhej saahil kii taraf apnii KHabar paanii se
Sabir Zafar
Sher
naama-bar tuu hii bataa tuu ne to dekhe ho.nge
kaise hote hai.n vo KHat jin ke javaab aate hai.n
Qamar Badayuni
Sher
miraa KHat us ne pa.Dhaa pa.Dh ke naama-bar se kahaa
yahii javaab hai is kaa ko.ii javaab nahii.n
Ameer Minai
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
naama-bar ye to kahii baat pate kii tuu ne
zikr us bazm me.n rahtaa to hai akasr apnaa
Bekhud Dehlvi
Sher
Shah Naseer
Sher
muTThii me.n kyaa dharii thii ki chupke se sau.np dii
jaan-e-aziiz peshkash-e-naama-bar Galat
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
mazaa le.nge ham dekh kar terii aa.nkhe.n
unhe.n KHuub tuu naama-bar dekh lenaa
Jaleel Manikpuri
Sher
kyuu.n sunaa nahii.n detaa faisla muqaddar kaa
naama-bar mire aage KHat chhupaa.e baiThaa hai
Kaif Bhopali
Sher
tujh se to kuchh kalaam nahii.n lekin ai nadiim
meraa salaam kahiyo agar naama-bar mile
Mirza Ghalib
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
saada varaq javaab me.n ik laa ke de gayaa
diivaana jaantaa hai miraa naama-bar mujhe
Manzar Lakhnavi
Sher
aayaa na phir ke ek bhii kuuche se yaar ke
qaasid gayaa nasiim ga.ii naama-bar gayaa
Jaleel Manikpuri
Sher
ham apnii ruuh ko qaasid banaa ke bheje.nge
tiraa guzar jo vahaa.n naama-bar nahii.n na sahii
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
KHat diijiyo chhupaa ke mile vo agar kahii.n
lenaa na mere naam ko ai naama-bar kahii.n