SEARCH RESULTS
Showing search results for "naan"
Sher MATCHES FOR "naan"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
muflisii bhuuk ko shahvat se milaa detii hai
gandumii lams me.n hai zaa.iqa-e-naan-e-javii.n
Abdul Ahad Saaz
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
dhyaan me.n aa kar baiTh ga.e ho tum bhii naa.n
mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhii naa.n
Ambareen Haseeb ambar
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
mohabbat aur ibaadat me.n farq to hai naa.n
so chhiin lii hai tirii dostii mohabbat ne
Iftikhar Mughal
Sher
ban ke ha.nsii ho.nTo.n par bhii rahte ho
ashko.n me.n bhii tum bahte ho tum bhii naa.n
Ambareen Haseeb ambar
Sher
tum se kahaa thaa baam pe mat jaanaa aaj shaam
dekhaa naa.n saare shahr kii to eid ho ga.ii
Ameen Tirmizi
Sher
yahii bahut the mujhe naan o aab o sham.a o gul
safar-nazhaad thaa asbaab muKHtasar rakkhaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
ret hai suuraj hai vus.at hai tanhaa.ii
lekin naa.n is dil kii KHaam-KHayaalii jaa.e
Ambarin Salahuddin
Sher
ham vo falak hai.n ahl-e-tavakkul ki misl-e-maah
rakhte nahii.n hai.n naan-e-shabiina baraa-e-sub.h
Shah Naseer
Sher
Shah Naseer
Sher
kyaa fikr-e-aab-o-naan ki Gam kah rahaa hai ab
maujuud huu.n ziyaafat-e-dil aur jigar ko mai.n
Ismail Merathi
Sher
ha.ngaam-e-qanaa.at dil-e-murda hu.aa zinda
mazmuun-e-qum e.ajaaz-e-lab-e-naan-e-javii.n thaa