SEARCH RESULTS
Showing search results for "naaseh-e-bedard"
Sher MATCHES FOR "naaseh-e-bedard"
Sher
tujh se milne par but-e-bedard ye uqda khulaa
bholii-bhaalii shakl vaale hote hai.n jallaad bhii
Jaleel Manikpuri
Sher
yaa ta.ng na kar naaseh-e-naadaa.n mujhe aise
yaa chal ke dikhaa de dahan aisaa kamar aisii
Shitab Rai Barahman
Sher
'bedaar' raah-e-ishq kisii se na tai hu.ii
sahraa me.n qais koh me.n farhaad rah gayaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
sharaab o saaqii-e-mah-ruu jo saath ho.n 'bedaar'
to KHush-numaa hai shab-e-maahtaab me.n dariyaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa
raat bhar taala-e-bedaar ne sone na diyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
hijr ik vaqfa-e-bedaar hai do nii.ndo.n me.n
vasl ik KHvaab hai jis kii ko.ii ta.abiir nahii.n
Ahmad Mushtaq
Sher
vasl kii raat KHushii ne mujhe sone na diyaa
mai.n bhii bedaar rahaa taale-e-bedaar ke saath
Jaleel Manikpuri
Sher
idhar kone me.n jo ik majlis-e-bedaar baiThii hai
kiraa.e par election ke liye tayyaar baiThii hai
Syed Zameer Jafri
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
har shaKHs yahaa.n gumbad-e-be-dar kii tarah hai
aavaaz pe aavaaz do suntaa nahii.n ko.ii
Mohsin Zaidi
Sher
kyuu.n na Thahre.n hadaf-e-naavak-e-be-daad ki ham
aap uThaa lete hai.n gar tiir KHataa hotaa hai
Mirza Ghalib
Sher
tamiiz-e-KHvaab-o-haqiiqat hai shart-e-bedaarii
KHayaal-e-azmat-e-maazii ko chho.D haal ko dekh
Sikandar Ali Wajd
Sher
bedaad-e-muqaddar se dil meraa ulajhtaa hai
jab aap nazar mujh par kuchh lutf se karte hai.n
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
naaseh baGal me.n aa kar dushman hu.aa hamaaraa
jaa.egaa kab ilaahii majlis se KHaar dil kaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
aa kar hamaarii laash pe kyaa yaar kar chale
KHvaab-e-adam se fitne ko bedaar kar chale