SEARCH RESULTS
Showing search results for "naashaad"
Sher MATCHES FOR "naashaad"
Sher
achchhii suurat nazar aate hii machal jaataa hai
kisii aafat me.n na Daale dil-e-naashaad mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
vaqt ik zarb lagaa.e to Gazal hotii hai
dard agar dil me.n samaa.e to Gazal hotii hai
Rabia Sultana Nashad
Sher
phir de ke KHushii ham use naashaad kare.n kyuu.n
Gam hii se tabii.at hai agar shaad kisii kii
Hafeez Jalandhari
Sher
mere qaabuu me.n na pahro.n dil-e-naashaad aayaa
vo miraa bhuulne vaalaa jo mujhe yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
Bedam Shah Warsi
Sher
aap aa.e to KHayaal-e-dil-e-naashaad aayaa
aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa
Riyaz Khairabadi
Sher
va.ada jhuuTaa kar liyaa chaliye tasallii ho ga.ii
hai zaraa sii baat KHush karnaa dil-e-naashaad kaa
Dagh Dehlvi
Sher
ham se pahle bhii mohabbat kaa yahii anjaam thaa
qais bhii naashaad thaa farhaad bhii naakaam thaa
Unknown
Sher
mire liye shab-e-mahtaab ik qayaamat hai
tum aa.o chaa.nd sitaaro.n me.n dil nahii.n lagtaa
Rabia Sultana Nashad
Sher
aa.nkh me.n jalva tiraa dil me.n tirii yaad rahe
ye mayassar ho to phir kyuu.n ko.ii naashaad rahe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
ye sach hai ki auro.n hii ko tum yaad karoge
mere dil-e-naashaad ko kab shaad karoge
Joshish Azimabadi
Sher
ek bose se muraad-e-dil-e-naashaad to do
kuchh na do haath se par mu.nh se mirii daad to do
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
zulm kab tak kiijiyegaa is dil-e-naashaad par
ab to is bande pe Tuk kiije karam banda-navaaz
Meer Hasan
Sher
Gam ke rishto.n ko kabhii to.D na denaa 'vaalii'
Gam KHayaal-e-dil-e-naa-shaad bahut kartaa hai
Wali Aasi
Sher
hichkiyaa.n aatii hai.n kyuu.n ai dil-e-naashaad mujhe
shaayad us shoKH ne bhuule se kiyaa yaad mujhe
Unknown
Sher
mai.n tire shahr se guzraa huu.n baguule kii tarah
apnii duniyaa me.n magan apne KHayaalaat me.n gum