SEARCH RESULTS
Showing search results for "naazo"
Sher MATCHES FOR "naazo"
Sher
naaz hai gul ko nazaakat pe chaman me.n ai 'zauq'
us ne dekhe hii nahii.n naaz-o-nazaakat vaale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
suurat to ibtidaa se tirii laa-javaab thii
naaz-o-adaa ne aur tarah-daar kar diyaa
Jaleel Manikpuri
Sher
tujh ko dekhaa na tire naaz-o-adaa ko dekhaa
terii har tarz me.n ik shaan-e-KHudaa ko dekhaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
dushman ke ghar se chal ke dikhaa do judaa judaa
ye baa.nkpan kii chaal ye naaz-o-adaa kii hai
Bekhud Dehlvi
Sher
bhole-bhaale hai.n hasii.n naaz-o-adaa kyaa jaane.n
chaahne vaale hii kambaKHt sikhaa dete hai.n
Unknown
Sher
naaz-o-andaaz kii qiimat hai tire mere sabab
kis kii mahfil me.n bhalaa aur Gazab Dhaa.oge
Mansoor Khushtar
Sher
pahle is me.n ik adaa thii naaz thaa andaaz thaa
ruuThnaa ab to tirii aadat me.n shaamil ho gayaa
Agha Shayar Qazalbash
Sher
aafat to hai vo naaz bhii andaaz bhii lekin
martaa huu.n mai.n jis par vo adaa aur hii kuchh hai
Ameer Minai
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
vafaa tum se kare.nge dukh sahe.nge naaz uThaa.e.nge
jise aataa hai dil denaa use har kaam aataa hai
Arzoo Lakhnavi
Sher
hai raam ke vajuud pe hindostaa.n ko naaz
ahl-e-nazar samajhte hai.n us ko imaam-e-hind
Allama Iqbal
Sher
Makhdoom Mohiuddin
Sher
tujh ko barbaad to honaa thaa bahar-haal 'KHumaar'
naaz kar naaz ki us ne tujhe barbaad kiyaa
Khumar Barabankavi
Sher
kyaa puuchhte ho naam-o-nishaan-e-musaafiraa.n
hindostaa.n me.n aa.e hai.n hindostaan ke the