SEARCH RESULTS
Showing search results for "naf-e-zaat"
Sher MATCHES FOR "naf-e-zaat"
Sher
KHayaal-e-naaf-e-butaa.n se ho kyuu.n ki dil jaa.n-bar
nikalte ko.ii bha.nvar se na Duubtaa dekhaa
Shah Naseer
Sher
vird-e-ism-e-zaat kholaa chaahtaa hai ye girah
mere dil par daa.nt hai allaah kii tashdiid kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
dono.n bahr-e-shola-e-zaat dono.n asiir-e-anaa
dariyaa ke lab par paanii dasht ke lab par pyaas
Krishna Kumar Toor
Sher
Akhtar Husain Jafri
Sher
ufuq ke aaKHirii manzar me.n jagmagaa.uu.n mai.n
hisaar-e-zaat se nikluu.n to KHud ko paa.uu.n mai.n
Kabir Ajmal
Sher
zaahir-parast KHalq hai zaahir durust kar
kaise sifaat-o-zaat jo kuchh hai libaas hai
Imdad Ali Bahr
Sher
pahchaan jin se thii vo havaale miTaa diye
us ne kitaab-e-zaat kaa safha badal diyaa
Fatima Hasan
Sher
kuchh chaa.ndnii udaas thii kuchh dil bhii thaa udaas
kal raat karb-e-zaat bhii had se sivaa hu.aa
Tasneem Abidi
Sher
ye husn-e-zaat bhii kuchh chiiz hai agar samjho
vaqaar aur ba.Dhaa hai safed baalo.n se
Rauf Raza
Sher
na qurb-e-zaat hii haasil na zaKHm-e-rusvaa.ii
ajiib lagtaa hai ab KHud se raabta rakhnaa
Jamil Nazar
Sher
shor hariim-e-zaat me.n aaKHir uTThaa kyuu.n
andar dekhaa jaa.e ki baahar dekhaa jaa.e
Ahmad Mahfuz
Sher
hisaar-e-zaat se kaT kar to jii nahii.n sakte
bha.nvar kii zad se yuu.n mahfuuz apnii naav na rakh
Farooq Shamim
Sher
allaah allaah KHusuusiyyat-e-zaat-e-hasnain
saarii ummat ke hai.n poto.n se navaase ba.Dh kar
Sharaf Mujaddidi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Karamat Ali Karamat
Sher
tamaam umr jise mai.n ubuur kar na sakaa
daruun-e-zaat mire be-kanaar saa kuchh hai
Aslam Mahmood
Sher
ham suufiyo.n kaa dono.n taraf se ziyaa.n hu.aa
irfaan-e-zaat bhii na hu.aa raat bhii ga.ii
Shuja Khaavar
Sher
hisaar-e-zaat ke diivaar-o-dar me.n qaid rahe
tamaam umr ham apne hii ghar me.n qaid rahe