SEARCH RESULTS
Showing search results for "nagmaat-e-aish-o-imbisaat"
Sher MATCHES FOR "nagmaat-e-aish-o-imbisaat"
Sher
shaayad hii raas aa.e mujhe aish-e-marg bhii
'raahii' Gam-e-hayaat kaa maaraa hu.aa huu.n mai.n
Mustafa Rahi
Sher
amiir shaal do-shaalo.n me.n garm-e-raahat-o-aish
Gariib ke liye jaa.Do.n me.n zindagaanii dhuup
Imdad Ali Bahr
Sher
na milne par bhii use 'aish' pyaar kartaa huu.n
yuu.n uu.nchaa kar diyaa me.aar-e-zindagii mai.n ne
Aish Meeruthi
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
merii havas ko aish-e-do-aalam bhii thaa qubuul
teraa karam ki tuu ne diyaa dil dukhaa hu.aa
Fani Badayuni
Sher
ik raat dil-jalo.n ko ye aish-e-visaal de
phir chaahe aasmaan jahannam me.n Daal de
Jalal Lakhnavi
Sher
terii furqat me.n sharaab-e-aish kaa to.Daa hu.aa
jaam-e-mai dast-e-subuu ke vaaste pho.Daa hu.aa
Muneer Shikohabadi
Sher
binaa thii aish-e-jahaa.n kii tamaam Gaflat par
khulii jo aa.nkh to goyaa ki ahtelaam hu.aa
Qayem Chaandpuri
Sher
aish-e-jahaa.n baGal me.n tumhaarii sab aa rahaa
dil hii diyaa jo tum ko to phir aur kyaa rahaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
raahat-o-aish o tarab sab hai.n tumhaare dam se
tum mire ghar me.n na aa.o to na aa.e ko.ii
Jaleel Manikpuri
Sher
aish-e-duniyaa se KHush na ho ko.ii
ham ne dekhe hai.n aise KHvaab bahut
Syed Masood Hasan Masood
Sher
khultaa hai qufl-e-aish miraa is se 'mus.hafii'
jis ke izaar-band me.n chhoTii kaliid hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tangii-e-aish me.n mumkin nahii.n tark-e-lazzat
suukhe Tuk.De bhii to faaqo.n me.n mazaa dete hai.n
Mirza Hadi Ruswa
Sher
ai baada-kash ga.ii hai mai-e-aish kis ke saath
har ik ne le ke jaam ko aage ba.Dhaa diyaa
Natiq Gulavthi
Sher
raate.n aish-o-ishrat kii din dukh dard musiibat ke
aatii aatii aatii hai.n jaate jaate jaate hai.n
Mela Ram Wafa
Sher
Agha Hajju Sharaf
Sher
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Ganesh Bihari Tarz
Sher
fikr-e-ma.aash o ishq-e-butaa.n yaad-e-raftagaa.n
in mushkilo.n se ahd-bar.aa.ii na ho sakii