SEARCH RESULTS
Showing search results for "nahaar"
Sher MATCHES FOR "nahaar"
Sher
KHizaa.n kaa bhes banaa kar bahaar ne maaraa
mujhe do-ra.ngii-e-lail-o-nahaar ne maaraa
Arzoo Lakhnavi
Sher
un se mire nasiib kaa chakkar banaa diyaa
kuchh gardishe.n jo bach rahii.n lail-o-nahaar se
Afqar Mohani
Sher
Shah Naseer
Sher
A. D. Azhar
Sher
kuchh vaqt zaraa aur nahar duudh kii legii
farhaad ko tesha nahii.n manzuur hu.aa hai
Navin Joshi
Sher
KHumaar-e-diida-e-anjum sharaab-e-lail-o-nahaar
hikaayat-e-na-shuniida nigaar-e-naa-mahram
Izhaar Malihabadi
Sher
qaabuu me.n rakkhe ablaq-e-lail-o-nahaar ko
dekhaa na mai.n ne aisaa kisii shahsavaar ko
Mohammad Baqar Shams
Sher
apne chehre se jo zaahir hai chhupaa.e.n kaise
terii marzii ke mutaabiq nazar aa.e.n kaise
Waseem Barelvi
Sher
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuu.n dekhe.n zindagii ko kisii kii nazar se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
dhuup me.n niklo ghaTaa.o.n me.n nahaa kar dekho
zindagii kyaa hai kitaabo.n ko haTaa kar dekho
Nida Fazli
Sher
sab log jidhar vo hai.n udhar dekh rahe hai.n
ham dekhne vaalo.n kii nazar dekh rahe hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
jhukii jhukii sii nazar be-qaraar hai ki nahii.n
dabaa dabaa saa sahii dil me.n pyaar hai ki nahii.n
Kaifi Azmi
Sher
aasmaa.n itnii bulandii pe jo itraataa hai
bhuul jaataa hai zamii.n se hii nazar aataa hai
Waseem Barelvi
Sher
auro.n kii buraa.ii ko na dekhuu.n vo nazar de
haa.n apnii buraa.ii ko parakhne kaa hunar de
Khaleel Tanveer
Sher
uqaabii ruuh jab bedaar hotii hai javaano.n me.n
nazar aatii hai un ko apnii manzil aasmaano.n me.n
Allama Iqbal
Sher
bhaa.np hii le.nge ishaara sar-e-mahfil jo kiyaa
taa.Dne vaale qayaamat kii nazar rakhte hai.n