SEARCH RESULTS
Showing search results for "namuuna"
Sher MATCHES FOR "namuuna"
Sher
pa.Dhte the kitaabo.n me.n qayaamat kaa samaa.n
nepal me.n kuchh is kaa namuuna dekhaa
Asghar Velori
Sher
gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohde the
bahut talaash kiyaa ko.ii aadmii na milaa
Bashir Badr
Sher
jab mai.n kahtaa huu.n ki yaa allaah meraa haal dekh
hukm hotaa hai ki apnaa naama-e-aamaal dekh
Akbar Allahabadi
Sher
naama-bar tuu hii bataa tuu ne to dekhe ho.nge
kaise hote hai.n vo KHat jin ke javaab aate hai.n
Qamar Badayuni
Sher
miraa KHat us ne pa.Dhaa pa.Dh ke naama-bar se kahaa
yahii javaab hai is kaa ko.ii javaab nahii.n
Ameer Minai
Sher
ye ham jo hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhte hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naama-bar ko dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
ek ha.ngaame pe mauquuf hai ghar kii raunaq
nauha-e-Gam hii sahii naGma-e-shaadii na sahii
Mirza Ghalib
Sher
KHaamushii chhe.D rahii hai ko.ii nauha apnaa
TuuTtaa jaataa hai aavaaz se rishta apnaa
Saqi Faruqi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
hijr hogaa na ko.ii hijr kaa nauha hogaa
baaz aate hai.n mohabbat se jo hogaa hogaa
Syed Zamin Abbas Kazmi
Sher
daavar-e-hashr miraa naama-e-a.amaal na dekh
is me.n kuchh parda-nashiino.n ke bhii naam aate hai.n
Mohammad Deen Taseer
Sher
ai parindo yaad kartii hai tumhe.n paagal havaa
roz ik nauha sar-e-shaaKH shajar suntaa huu.n mai.n
Irfan Siddiqi
Sher
chhe.D maashuuq se kiije to zaraa tham tham kar
roz ke naama o paiGaam bure hote hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
ham ruuh-e-safar hai.n hame.n naamo.n se na pahchaan
kal aur kisii naam se aa jaa.e.nge ham log
Razi Akhtar Shauq
Sher
mazaa le.nge ham dekh kar terii aa.nkhe.n
unhe.n KHuub tuu naama-bar dekh lenaa
Jaleel Manikpuri
Sher
raat din naama-o-paiGaam kahaa.n tak doge
saaf kah diijiye milnaa hame.n manzuur nahii.n
Hasrat Mohani
Sher
is daur-e-naa-muraad se ye tajraba hu.aa
diivaar guftuguu ke liye behtariin hai