SEARCH RESULTS
Showing search results for "naqqaash"
Sher MATCHES FOR "naqqaash"
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
jiyuu.ngaa mai.n tirii saa.nso.n me.n jab tak
KHud apnii saa.ns me.n zinda rahuu.ngaa
Akram Naqqash
Sher
ishq ik aisii havelii hai ki jis se baahar
ko.ii darvaaza khule aur na dariicha nikle
Akram Naqqash
Sher
andhaa safar hai ziist kise chho.D de kahaa.n
uljhaa hu.aa saa KHvaab hai taabiir kyaa kare.n
Akram Naqqash
Sher
kuchh to inaayate.n hai.n mire kaarsaaz kii
aur kuchh mire mizaaj ne tanhaa kiyaa mujhe
Akram Naqqash
Sher
hazaar kaarvaa.n yuu.n to hai.n mere saath magar
jo mere naam hai vo qaafila kab aa.egaa
Akram Naqqash
Sher
ye kaun sii jagah hai ye bastii hai kaun sii
ko.ii bhii is jahaan me.n tere sivaa nahii.n
Akram Naqqash
Sher
rakhkhuu.n kahaa.n pe paa.nv ba.Dhaa.uu.n kidhar qadam
raKHsh-e-KHayaal aaj hai be-iKHtiyaar phir
Akram Naqqash
Sher
ye puuchh aa ke kaun nasiibo.n jiyaa hai dil
mat dekh ye ki kaun sitaara hai baKHt me.n
Akram Naqqash
Sher
naqqaash-e-azal ne to sar-e-kaaGaz-e-baad aah
kyaa KHaak likhaa umr kii ta.amiir kaa naqsha
Waliullah Muhib
Sher
haath dono.n kaf-e-afsos kii suurat likkhe
kii jo naqqaash ne tasviir hamaarii tayyaar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Akram Naqqash
Sher
hairat se dekhtaa hu.aa chehra kiyaa mujhe
sahraa kiyaa kabhii kabhii dariyaa kiyaa mujhe
Akram Naqqash
Sher
karuu.ngaa kyaa jo mohabbat me.n ho gayaa naakaam
mujhe to aur ko.ii kaam bhii nahii.n aataa