aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "naqqaash"
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
mere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatangul-posh terii vaadiyaa.nfarhat-nishaa.n raahat-rasaa.ntere chaman-zaaro.n pe haigulzaar-e-jannat kaa gumaa.nhar shaaKH phuulo.n kii chha.Diihar naKHl-e-tuubaa hai yahaa.nkausar ke chashme jaa-ba-jaatasniim har aab-e-ravaa.nhar barg ruuh-e-taazgiihar phuul jaan-e-gulsitaa.nhar baaG baaG-e-dil-kashiihar baaG baaG-e-be-KHizaa.ndilkash charaagaahe.n tiriiDhoro.n ke jin me.n kaarvaa.nanjum-sifat gulhaa-e-nauhar taKHta-e-gul aasmaa.nnaqsh-e-surayyaa jaa-ba-jaahar har ravish ik kahkashaa.nterii bahaare.n daa.imiiterii bahaare.n jaavedaa.ntujh me.n hai ruuh-e-zindagiipaiham ravaa.n paiham davaa.ndariyaa vo tere tund-KHuujhiile.n vo terii be-karaa.nshaam-e-avadh ke lab pe haihusn-e-azal kii daastaa.nkahtii hai raaz-e-sarmadiisub.h-e-banaras kii zabaa.nu.Dtaa hai haft-aflaak parun kaar-KHaano.n kaa dhu.aa.njin me.n hai.n laakho.n mehnatiisan.at-garii ke paasbaa.nterii banaras kii zariirashk-e-hariir-o-parniyaa.nbiidar kii fankaarii me.n hai.nsan.at kii sab baariikiyaa.nazmat tire iqbaal kiitere pahaa.Do.n se ayaa.ndariyaa.o.n kaa paanii, tariitaqdiis kaa andaaza-daa.nkyaa 'bhaarte.ndu' ne kiyaaga.ngaa kii lahro.n kaa bayaa.n'iqbaal' aur chakbast hai.nazmat ke terii naGma-KHvaa.n'josh' o 'firaaq' o 'pant' hai.ntere adab ke tarjumaa.n'tulsii' o 'KHusrav' hai.n teriitaariif me.n ratb-ul-lisaa.ngaate hai.n naGma mil ke sabuu.nchaa rahe teraa nishaa.nmere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujiyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatantere nazaaro.n ke nagii.nduniyaa kii KHaatam me.n nahii.nsaare jahaa.n me.n muntaKHabkashmiir kii arz-e-hasii.nfitrat kaa ra.ngii.n mo.ajazafirdaus bar-ruu-e-zamii.nfirdaus bar-ruu-e-zamii.nhaa.n haa.n hamii.n ast o hamii.nsarsabz jis ke dasht hai.njis ke jabal hai.n surmagii.nmeve ba-kasrat hai.n jahaa.nshiirii.n misaal-e-a.ngbii.nhar za.afaraa.n ke phuul me.naks-e-jamaal-e-huura.ii.nvo maalve kii chaa.ndniigum jis me.n ho.n duniyaa-o-dii.nis KHitta-e-naira.ng me.nhar ik fazaa husn-aafrii.nhar shai me.n husn-e-zindagiidilkash makaa.n dilkash zamii.nhar mard mard-e-KHuub-ruuhar ek aurat naaznii.nvo taaj kii KHush-paikariihar zaaviye se dil-nashii.nsan.at-garo.n ke daur kiiik yaadgaar-e-marmarii.nhotii hai jo har shaam kofaiz-e-shafaq se ahmarii.ndariyaa kii maujo.n se alagyaa ik bat-e-nazzaara-bii.nyaa taa.er-e-nuurii ko.iiparvaaz karne ke qarii.nyaa ahl-e-duniyaa se alagik aabid-e-uzlat-guzii.nnaqsh-e-ajantaa kii qasamjachtaa nahii.n arzha.ng-e-chii۔nshaan-e-ellora dekh karjhuktii hai aazar kii jabii.nchittau.D ho yaa aagaraaise nahii.n qil.e kahii.nbut-gar ho yaa naqqaash hotuu sab kii azmat kaa amii.nmere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujiyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatandilkash tire dasht o chamanra.ngii.n tire shahr o chamantere javaa.n raa.anaa javaa.ntere hasii.n gul pairahanik anjuman duniyaa hai yetuu is me.n sadr-e-anjumantere muGannii KHush-navaashaa.er tire shiirii.n-suKHanhar zarra ik maah-e-mubii.nhar KHaar rashk-e-nastarii.nGuncha tire sahraa kaa haiik naafa-e-mushk-e-KHutanka.nkar hai.n tere be-bahaapatthar tire laal-e-yamanbastii se jangal KHuub-tarbaaGo.n se husn afroz banvo mor vo kabk-e-dariivo chauk.Dii bharte hiranra.ngii.n-adaa vo titliyaa.nbaa.nbnii me.n vo naago.n ke phanvo sher jin ke naam selarze me.n aa.e ahrmankheto.n kii barkat se ayaa.nfaizaan-e-rabb-e-zul-minanchashmo.n ke shiirii.n aab selazzat-kashaa.n kaam-o-dahantaabinda teraa ahd-e-nauraushan tiraa ahd-e-kuhankitno.n ne tujh par kar diyaaqurbaan apnaa maal dhankitne shahiido.n ko miletere liye daar-o-rasankitno.n ko teraa ishq thaakitno.n ko thii terii lagantere jafaa-kash mehnatiirakhte hai.n azm-e-kohkantere sipaahii suurmaabe-misl yaktaa-e-zaman'bhisham' saa jin me.n hausla'arjun' saa jin me.n baa.nkpanaalim jo faKHr-e-ilm hai.nfankaar naazaa.n jin pe fan'raa.e' o 'bos' o 'shergil''dinkar,' 'jigar' 'maithli-sharan''vallathol' 'maahir', bhaartii'bachchan', 'mahaadevii' 'suman''krishnan', 'niraalaa', 'prem-chand''tagore' o 'aazaad' o 'raman'mere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujiyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatankhetii tirii har ik hariidilkash tirii KHush-manzariiterii bisaat-e-KHaak kezarre hai.n mahr-o-mushtariijhelum kaveri naag voga.ngaa kii vo ga.ngotariivo narbadaa kii tamkanatvo shaukat-e-godaavariipaakiizgii sarjuu kii vojamunaa kii vo KHush-gauhariidullarba aab-e-niil-guu.nkashmiir kii niilam-pariidilkash papiihe kii sadaakoyal kii taane.n mad-bhariitiitar kaa vo haq sirrahutuutii kaa vo vird-e-hariisuufii tire har daur me.nkarte rahe paiGambarii'chishtii' o 'nanak' se miliifaqr-o-Ginaa ko bartariiadl-e-jahaa.ngiirii me.n thiimuzmar re.aayaa-parvariivo nau-ratan jin se hu.iitahziib-e-daur-e-akbariirakhte the afGaan-o-muGalik saulat-e-askandariiraanaa.on ke iqbaal kiihotii hai kis se ham-sariisaava.nt vo yodhdhaa tiretere jiyaale vo jariiniiatii vidur kii aaj takkartii hai terii rahbariiab tak hai mash.huur-e-zamaa.n'chanakya' kii daanish-variivayaas aur vishvamitr semuniyo.n kii shaan-e-qaisariipaatanjalii o saa.nkh serishiyo.n kii hikmat-parvariibaKHshe tujhe in.aam-e-nauhar daur charKH-e-chambariiKHush-gauharii de aab koaur KHaak ko KHush-jauhariizarro.n ko mahr-afshaaniyaa.nqatro.n ko dariyaa-gustariimere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujiyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatantuu rahbar-e-nau-e-bashartuu amn kaa paiGaam-barpaale hai.n tuu ne god me.nsaahib-KHirad saahib-e-nazarafzal-tarii.n in sab me.n haibaapuu kaa naam-e-mo'tabarhar lafz jis kaa dil-nashii.nhar baat jis kii pur-asarjis ne lagaayaa dahr me.nna.ara ye be-KHauf-o-KHatarbe-kaar hai.n tiir-o-sinaa.nbe-suud hai.n teG-o-tabarhinsaa kaa rasta jhuuT haihaq hai ahinsaa kii Dagardarmaa.n hai ye har dard kaaye har maraz kaa chaara-garja.ngaah-e-aalam me.n ko.iiis se nahii.n behtar siparkartaa huu.n mai.n tere liyeab ye du.aa-e-muKHtasarraunaq pe ho.n tere chamansarsabz ho.n tere shajarnaKHl-e-umiid-e-behtariihar fasl me.n ho baarvarkoshish ho duniyaa me.n ko.iiKHitta na ho zer-o-zabarteraa har ik baasii raheneko-sifat neko-siyarhar zan saliiqa-ma.nd hohar mard ho saahib-hunarjab tak hai.n ye arz o falakjab tak hai.n ye shams o qamarmere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatan
insaa.n vo uThaa jis kaa saanii sadiyo.n me.n bhii duniyaa jan na sakiimuurat vo miTii naqqaash se bhii joban ke dobaara ban na sakii
hai dair ki ka.aba kyaa jaane hai kaun saa aalam zer-e-zamii.nmasjuud nahii.n hai ko.ii bhii sajde me.n magar jhuktii hai jabii.nnaqqaash hai terii parchhaa.ii.n aazar hai tire suuraj kii kiran
ai mire sher ke naqqaad tujhe hai ye gilaki nahii.n hai mire ehsaas me.n sarmastii o kaifki nahii.n hai mire anfaas me.n buu-e-mai-e-jaamchaman-e-dahr kii taqdiir ki mai.n huu.n vo ghaTaajis ne siikhaa hii nahii.n abr-e-bahaarii kaa KHiraamraat taariik hai aur mai.n huu.n vo ik sham-e-hazii.njis ke sho.ale me.n nahii.n sub.h-e-daraKHshaa.n kaa payaammere phuulo.n me.n sabaa.on na bahaaro.n kaa guzarmerii raato.n me.n sitaaro.n na sharaaro.n kaa guzarmerii mahfil me.n na mutrib na muGannii kaa suruudmere mai-KHaane me.n mauj-e-mai-e-ummiid haraammai.n vo naqqaash huu.n khoyaa hu.aa bhaTkaa naqqaashjis ke har naqsh me.n taKH.iil ke har paikar me.nmuskuraatii hai ba.De naaz se ruuh-e-aalaam
sach bataa.o shaa.iro naqqaash-o-afsaana-garokyaa yahii vo jannat-e-kashmiir haihar taraf maayuusiyaa.n mahruumiyaa.nbe-yaqiinii zindagii Gaarat-gariimaut ke saa.e saro.n par har gha.DiiKHauf-o-dahshat kuu-ba-kuuzaafraanii KHushbu.o.n me.n bas ga.ii baaruud buugul-kado.n ke paas faujii chaukiyaa.nnafrato.n ke darmiyaa.nKHvaab ho kar rah gayaa amn-o-amaa.nsach bataa.o shaa.iro suurat-garoab jo ye tasviir haikyaa vahii kashmiir hai jannat-nishaa.n
insaan ke parde me.n KHudaa dekh rahaa huu.nmai.n zarf-e-nazar se bhii sivaa dekh rahaa huu.nahbaab me.n kam rang-e-vafaa dekh rahaa huu.nye vaaqi.a sun.naa to kujaa dekh rahaa huu.npahle to na thii fursat-e-nazzaara na dekhaahaa.n ab to zaraa parda uThaa dekh rahaa huu.njab tuu nahii.n maujuud to kyaa khel hai duniyaadin-raat mai.n ye KHvaab saa kyaa dekh rahaa huu.nkyaa jaaniye kyaa hogii haqiiqat me.n tajalliiye aks agar jalva-numaa dekh rahaa huu.nphir hone ko hai dil pe Gam-e-taaza kii yuurishphir Duubii hu.ii nabz-e-fazaa dekh rahaa huu.nnaqqaash-e-azal mai.n tirii jiddat ke tasadduqhar naqsh se har naqsh judaa dekh rahaa huu.nnazre.n hai.n mirii markaz-e-anvaar pe qaa.emtaKHliiq-e-do-aalam kii binaa dekh rahaa huu.nik tere na hone se hai.n be-rang manaazirhar saaz ko mahruum-e-sadaa dekh rahaa huu.nkaunain ko fitrat ne sa.nvaaraa to hai lekinis aa.ine me.n aks-e-fanaa dekh rahaa huu.nmere liye har barq hai tamhiid-e-nazaaramai.n maut ke daaman me.n baqaa dekh rahaa huu.nhai.n be-KHudii-e-shauq me.n be-parda do-aalamhar chiiz ko mai.n apne sivaa dekh rahaa huu.nshaa.ir kii nazar se unhe.n dekhe ko.ii 'naKHshab'mai.n kaise bataa.uu.n ki mai.n kyaa dekh rahaa huu.n
auro.n se alag duniyaa se judaayaktaa-e-zamaana huu.n goyaaaap apnii KHudii kaa maz.har huu.nnaqqaash-e-azal kaa shah-paara
'aql tahriir-e-nigaah 'ishq dil kaa tarjumaa.n'aql tafsiir-e-kitaab 'ishq maa'nii kaa bayaa.n'aql paaband-e-zamaa.n 'ishq aazaad-e-makaa.nik hayaat-e-‘aarzii ik hayaat-e-jaavedaa.n'aql kii vus'at hai tang 'ishq kii vus'at faraaKH'aql dariyaa-e-furaat 'ishq bahr-e-be-karaa.n'ishq gauhar tamkanat 'aql be-gauhar sadafye hai faKHr-e-rozgaar vo hai rusvaa-e-zamaa.n'aql kii bhii saltanat 'ishq kii bhii saltanatus kii baa-teG-o-sinaa.n is kii be-teG-o-sinaa.ndono.n hai.n garm-e-jihaad farq itnaa hai magarek ko jaa.n kaa KHayaal ek be-parvaa-e-jaa.n'aql naa-farmaan-e-haq 'ishq KHaaliq kaa mutii’ik to us se koso.n duur ek us kaa raaz-daa.n'aql Garq-e-sail-e-nuuh 'ishq ko us se najaat'aql maahii kaa shikaar 'ishq ko hifz-o-amaa.n'aql yazdaa.n kaa KHaliil 'aql aazar kii Gulaamye hai me'maar-e-haram vo hai naqqaash-e-butaa.n'aql hai fir'aun-e-misr 'ishq hai muusaa-e-tuurek maa'tuub-e-ilaah ek par haq mehrbaa.n'aql baal-e-jibra.iil 'ishq parvaaz-e-rasuulus kii manzil muntahaa is kii manzil laa-makaa.n'aql sajda-rez-e-'ishq 'ishq sajda-gaah-e-'aql'aql hai laat-o-manaat 'ishq haq kaa aastaa.n'aql juuyaa-e-bahisht 'ishq juuyaa-e-KHudaaek ko yazdaa.n 'aziiz ek ko huur-e-jinaa.n'ishq se 'irfaan-e-zaat 'aql se nafy-e-sifaat'ishq sar-taa-paa yaqii.n 'aql sar-taa-sar gumaa.n
kyuu.n ziyaa.n-kaar banuu.n suud-faraamosh rahuu.nfikr-e-fardaa na karuu.n mahv-e-Gam-e-dosh rahuu.nnaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.njur.at-aamoz mirii taab-e-suKHan hai mujh koshikva allaah se KHaakam-ba-dahan hai mujh kohai bajaa sheva-e-tasliim me.n mash.huur hai.n hamqissa-e-dard sunaate hai.n ki majbuur hai.n hamsaaz KHaamosh hai.n fariyaad se maamuur hai.n hamnaala aataa hai agar lab pe to ma.azuur hai.n hamai KHudaa shikva-e-arbaab-e-vafaa bhii sun leKHuugar-e-hamd se tho.Daa saa gila bhii sun lethii to maujuud azal se hii tirii zaat-e-qadiimphuul thaa zeb-e-chaman par na pareshaa.n thii shamiimshart insaaf hai ai saahib-e-altaaf-e-amiimbuu-e-gul phailtii kis tarah jo hotii na nasiimham ko jam.iiyat-e-KHaatir ye pareshaanii thiivarna ummat tire mahbuub kii diivaanii thiiham se pahle thaa ajab tere jahaa.n kaa manzarkahii.n masjuud the patthar kahii.n ma.abuud shajarKHuugar-e-paikar-e-mahsuus thii insaa.n kii nazarmaantaa phir ko.ii an-dekhe KHudaa ko kyuu.nkartujh ko ma.aluum hai letaa thaa ko.ii naam tiraaquvvat-e-baazu-e-muslim ne kiyaa kaam tiraabas rahe the yahii.n saljuuq bhii tuuraanii bhiiahl-e-chii.n chiin me.n iiraan me.n saasaanii bhiiisii maamuure me.n aabaad the yuunaanii bhiiisii duniyaa me.n yahuudii bhii the nasraanii bhiipar tire naam pe talvaar uThaa.ii kis nebaat jo big.Dii hu.ii thii vo banaa.ii kis nethe hamii.n ek tire maarka-aaraa.o.n me.nKHushkiyo.n me.n kabhii la.Dte kabhii dariyaa.o.n me.ndii.n azaane.n kabhii europe ke kaliisaa.o.n me.nkabhii africa ke tapte hu.e sahraa.o.n me.nshaan aa.nkho.n me.n na jachtii thii jahaa.n-daaro.n kiikalma pa.Dhte the hamii.n chhaa.nv me.n talvaaro.n kiiham jo jiite the to jango.n kii musiibat ke liyeaur marte the tire naam kii azmat ke liyethii na kuchh teGzanii apnii hukuumat ke liyesar-ba-kaf phirte the kyaa dahr me.n daulat ke liyeqaum apnii jo zar-o-maal-e-jahaa.n par martiibut-faroshii ke evaz but-shikanii kyuu.n kartiiTal na sakte the agar jang me.n a.D jaate thepaa.nv shero.n ke bhii maidaa.n se ukha.D jaate thetujh se sarkash hu.aa ko.ii to biga.D jaate theteG kyaa chiiz hai ham top se la.D jaate thenaqsh-e-tauhiid kaa har dil pe biThaayaa ham nezer-e-KHanjar bhii ye paiGaam sunaayaa ham netuu hii kah de ki ukhaa.Daa dar-e-KHaibar kis neshahr qaisar kaa jo thaa us ko kiyaa sar kis neto.De maKHluuq KHudaa-vando.n ke paikar kis nekaaT kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis nekis ne ThanDaa kiyaa aatish-kada-e-iiraa.n kokis ne phir zinda kiyaa tazkira-e-yazdaa.n kokaun sii qaum faqat terii talabgaar hu.iiaur tere liye zahmat-kash-e-paikaar hu.iikis kii shamshiir jahaa.ngiir jahaa.n-daar hu.iikis kii takbiir se duniyaa tirii bedaar hu.iikis kii haibat se sanam sahme hu.e rahte themu.nh ke bal gir ke huu-allahu-ahad kahte theaa gayaa ain la.Daa.ii me.n agar vaqt-e-namaazqibla-ruu ho ke zamii.n-bos hu.ii qaum-e-hijaazek hii saf me.n kha.De ho ga.e mahmuud o ayaazna ko.ii banda rahaa aur na ko.ii banda-navaazbanda o saahab o mohtaaj o Ganii ek hu.eterii sarkaar me.n pahu.nche to sabhii ek hu.emahfil-e-kaun-o-makaa.n me.n sahar o shaam phiremai-e-tauhiid ko le kar sifat-e-jaam phirekoh me.n dasht me.n le kar tiraa paiGaam phireaur ma.aluum hai tujh ko kabhii naakaam phiredasht to dasht hai.n dariyaa bhii na chho.De ham nebahr-e-zulmaat me.n dau.Daa diye gho.De ham nesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa ham nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa ham netere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa ham netere qur.aan ko siino.n se lagaayaa ham nephir bhii ham se ye gila hai ki vafaadaar nahii.nham vafaadaar nahii.n tuu bhii to dildaar nahii.nummate.n aur bhii hai.n un me.n gunahgaar bhii hai.nijz vaale bhii hai.n mast-e-mai-e-pindaar bhii hai.nun me.n kaahil bhii hai.n Gaafil bhii hai.n hushyaar bhii hai.nsaik.Do.n hai.n ki tire naam se be-zaar bhii hai.nrahmate.n hai.n tirii aGyaar ke kaashaano.n parbarq girtii hai to bechaare musalmaano.n parbut sanam-KHaano.n me.n kahte hai.n musalmaan ga.ehai KHushii un ko ki ka.abe ke nigahbaan ga.emanzil-e-dahr se uu.nTo.n ke hudii-KHvaan ga.eapnii baGlo.n me.n dabaa.e hu.e qur.aan ga.eKHanda-zan kufr hai ehsaas tujhe hai ki nahii.napnii tauhiid kaa kuchh paas tujhe hai ki nahii.nye shikaayat nahii.n hai.n un ke KHazaane maamuurnahii.n mahfil me.n jinhe.n baat bhii karne kaa shu.uurqahr to ye hai ki kaafir ko mile.n huur o qusuuraur bechaare musalmaa.n ko faqat vaada-e-huurab vo altaaf nahii.n ham pe inaayaat nahii.nbaat ye kyaa hai ki pahlii sii mudaaraat nahii.nkyuu.n musalmaano.n me.n hai daulat-e-duniyaa naayaabterii qudrat to hai vo jis kii na had hai na hisaabtuu jo chaahe to uThe siina-e-sahraa se habaabrah-rav-e-dasht ho sailii-zada-e-mauj-e-saraabtaan-e-aGyaar hai rusvaa.ii hai naadaarii haikyaa tire naam pe marne kaa evaz KHvaarii haibanii aGyaar kii ab chaahne vaalii duniyaarah ga.ii apne liye ek KHayaalii duniyaaham to ruKHsat hu.e auro.n ne sa.nbhaalii duniyaaphir na kahnaa hu.ii tauhiid se KHaalii duniyaaham to jiite hai.n ki duniyaa me.n tiraa naam rahekahii.n mumkin hai ki saaqii na rahe jaam raheterii mahfil bhii ga.ii chaahne vaale bhii ga.eshab kii aahe.n bhii ga.ii.n sub.h ke naale bhii ga.edil tujhe de bhii ga.e apnaa sila le bhii ga.eaa ke baiThe bhii na the aur nikaale bhii ga.eaa.e ushshaaq ga.e vaada-e-fardaa le karab unhe.n Dhuu.nD charaaG-e-ruKH-e-zebaa le kardard-e-lailaa bhii vahii qais kaa pahluu bhii vahiinajd ke dasht o jabal me.n ram-e-aahuu bhii vahiiishq kaa dil bhii vahii husn kaa jaaduu bhii vahiiummat-e-ahmad-e-mursil bhii vahii tuu bhii vahiiphir ye aazurdagi-e-Gair sabab kyaa ma.aniiapne shaidaa.o.n pe ye chashm-e-Gazab kyaa ma.aniitujh ko chho.Daa ki rasuul-e-arabii ko chho.Daabut-garii pesha kiyaa but-shikanii ko chho.Daaishq ko ishq kii aashufta-sarii ko chho.Daarasm-e-salmaan o uvais-e-qaranii ko chho.Daaaag takbiir kii siino.n me.n dabii rakhte hai.nzindagii misl-e-bilaal-e-habashii rakhte hai.nishq kii KHair vo pahlii sii adaa bhii na sahiijaada-paimaali-e-tasliim-o-razaa bhii na sahiimuztarib dil sifat-e-qibla-numaa bhii na sahiiaur paabandi-e-aa.iin-e-vafaa bhii na sahiikabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii haibaat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii haisar-e-faaraa.n pe kiyaa diin ko kaamil tuu neik ishaare me.n hazaaro.n ke liye dil tuu neaatish-andoz kiyaa ishq kaa haasil tuu nephuu.nk dii garmi-e-ruKHsaar se mahfil tuu neaaj kyuu.n siine hamaare sharer-aabaad nahii.nham vahii soKHta-saamaa.n hai.n tujhe yaad nahii.nvaadii-e-najd me.n vo shor-e-salaasil na rahaaqais diivaana-e-nazzaara-e-mahmil na rahaahausle vo na rahe ham na rahe dil na rahaaghar ye uj.Daa hai ki tuu raunaq-e-mahfil na rahaaai KHushaa aa.n roz ki aa.ii o ba-sad naaz aa.iibe-hijaabaana suu-e-mahfil-e-maa baaz aa.iibaada-kash Gair hai.n gulshan me.n lab-e-juu baiThesunte hai.n jaam-ba-kaf naGma-e-kuu-kuu baiThedaur ha.ngaama-e-gulzaar se yaksuu baiThetere diivaane bhii hai.n muntazir-e-huu baiTheapne parvaano.n ko phir zauq-e-KHud-afrozii debarq-e-deriina ko farmaan-e-jigar-sozii deqaum-e-aavaara inaa.n-taab hai phir suu-e-hijaazle u.Daa bulbul-e-be-par ko mazaaq-e-parvaazmuztarib-e-baaG ke har Gunche me.n hai buu-e-niyaaztuu zaraa chhe.D to de tishna-e-mizraab hai saaznaGme betaab hai.n taaro.n se nikalne ke liyetuur muztar hai usii aag me.n jalne ke liyemushkile.n ummat-e-marhuum kii aasaa.n kar demor-e-be-maaya ko ham-dosh-e-sulaimaa.n kar dejins-e-naayaab-e-mohabbat ko phir arzaa.n kar dehind ke dair-nashiino.n ko musalmaa.n kar dejuu-e-KHuu.n mii chakad az hasrat-e-dairiina-e-maamii tapad naala ba-nishtar kada-e-siina-e-maabuu-e-gul le ga.ii bairuun-e-chaman raaz-e-chamankyaa qayaamat hai ki KHud phuul hai.n Gammaaz-e-chamanahd-e-gul KHatm hu.aa TuuT gayaa saaz-e-chamanu.D ga.e Daaliyo.n se zamzama-pardaaz-e-chamanek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab takus ke siine me.n hai naGmo.n kaa talaatum ab takqumriyaa.n shaaKH-e-sanobar se gurezaa.n bhii hu.ii.npattiyaa.n phuul kii jha.D jha.D ke pareshaa.n bhii hu.ii.nvo puraanii raushe.n baaG kii viiraa.n bhii hu.ii.nDaaliyaa.n pairahan-e-barg se uryaa.n bhii hu.ii.nqaid-e-mausam se tabii.at rahii aazaad us kiikaash gulshan me.n samajhtaa ko.ii fariyaad us kiilutf marne me.n hai baaqii na maza jiine me.nkuchh maza hai to yahii KHuun-e-jigar piine me.nkitne betaab hai.n jauhar mire aa.iine me.nkis qadar jalve ta.Dapte hai.n mire siine me.nis gulistaa.n me.n magar dekhne vaale hii nahii.ndaaG jo siine me.n rakhte ho.n vo laale hii nahii.nchaak is bulbul-e-tanhaa kii navaa se dil ho.njaagne vaale isii baa.ng-e-daraa se dil ho.nya.anii phir zinda na.e ahd-e-vafaa se dil ho.nphir isii baada-e-dairiina ke pyaase dil ho.najamii KHum hai to kyaa mai to hijaazii hai miriinaGma hindii hai to kyaa lai to hijaazii hai mirii
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
shahr kii raat aur mai.n naashaad o naakaaraa phiruu.njagmagaatii jaagtii sa.Dko.n pe aavaaraa phiruu.nGair kii bastii hai kab tak dar-ba-dar maaraa phiruu.nai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n
har dam abadii raahat kaa samaa.n dikhlaa ke hame.n dil-giir na karlillaah habaab-e-aab-e-ravaa.n par naqsh-e-baqaa tahriir na karmaayuusii ke ramte baadal par ummiid ke ghar ta.amiir na kar
kuchh rishte TuuTe TuuTe sekuchh saathii chhuuTe chhuuTe sekuchh big.Dii big.Dii tasviire.nkuchh dhundlii dhundlii tahriire.nkuchh aa.nsuu chhalke chhalke sekuchh motii Dhalke Dhalke sekuchh naqsh ye hairaa.n hairaa.n sekuchh aks ye larzaa.n larzaa.n sekuchh uj.Dii uj.Dii duniyaa me.nkuchh bhaTkii bhaTkii aashaa.e.nkuchh bikhre bikhre sapne hai.nye Gair nahii.n sab apne hai.nmat roko inhe.n paas aane doye mujh se milne aa.e hai.nmai.n KHud na jinhe.n pahchaan sakuu.nkuchh itne dhu.ndle saa.e hai.n
ye ahl-e-hashm ye daaraa-o-jam sab naqsh bar-aab hai.n ai hamdammiT jaa.e.nge sab parvarda-e-shab ai ahl-e-vafaa rah jaa.e.nge hamho jaa.n kaa ziyaa.n par qaatil ko ma.asuum-adaa kyaa likhnaazulmat ko ziyaa sarsar ko sabaa bande ko KHudaa kyaa likhnaa
hu.aa KHema-zan kaarvaan-e-bahaariram ban gayaa daaman-e-koh-saargul o nargis o sosan o nastaranshahiid-e-azal laala-KHuunii.n kafanjahaa.n chhup gayaa parda-e-ra.ng me.nlahuu kii hai gardish rag-e-sang me.nfazaa niilii niilii havaa me.n suruurThaharte nahii.n aashiyaa.n me.n tuyuurvo juu-e-kohistaa.n uchaktii hu.iiaTaktii lachaktii saraktii hu.iiuchhaltii phisaltii sambhaltii hu.iiba.De pech khaa kar nikaltii hu.iiruke jab to sil chiir detii hai yepahaa.Do.n ke dil chiir detii hai yezaraa dekh ai saaqii-e-laala-faamsunaatii hai ye zindagii kaa payaampilaa de mujhe vo mai-e-parda-sozki aatii nahii.n fasl-e-gul roz rozvo mai jis se raushan zamiir-e-hayaatvo mai jis se hai masti-e-kaa.enaatvo mai jis me.n hai soz-o-saaz-e-azalvo mai jis se khultaa hai raaz-e-azaluThaa saaqiyaa parda is raaz sela.Daa de mamuule ko shahbaaz sezamaane ke andaaz badle ga.enayaa raag hai saaz badle ga.ehu.aa is tarah faash raaz-e-fara.ngki hairat me.n hai shiisha-baaz-e-fara.ngpuraanii siyaasat-garii KHvaar haizamii.n miir o sultaa.n se be-zaar haigayaa daur-e-sarmaaya-daarii gayaatamaashaa dikhaa kar madaarii gayaagiraa.n KHvaab chiinii sambhalne lagehimaala ke chashme ubalne lagedil-e-tuur-e-siinaa-o-faaraan do-niimtajallii kaa phir muntazir hai kaliimmusalmaa.n hai tauhiid me.n garam-joshmagar dil abhii tak hai zunnaar-poshtamaddun tasavvuf sharii.at-e-kalaambutaan-e-ajam ke pujaarii tamaamhaqiiqat KHuraafaat me.n kho ga.iiye ummat rivaayaat me.n kho ga.iilubhaataa hai dil ko kalaam-e-KHatiibmagar lazzat-e-shauq se be-nasiibbayaa.n is kaa mantiq se suljhaa hu.aaluGat ke bakhe.Do.n me.n uljhaa hu.aavo suufii ki thaa KHidmat-e-haq me.n mardmohabbat me.n yaktaa hamiiyat me.n fardajam ke KHayaalaat me.n kho gayaaye saalik maqaamaat me.n kho gayaabujhii ishq kii aag andher haimusalmaa.n nahii.n raakh kaa Dher haisharaab-e-kuhan phir pilaa saaqiyaavahii jaam gardish me.n laa saaqiyaamujhe ishq ke par lagaa kar u.Daamirii KHaak jugnuu banaa kar u.DaaKHirad ko Gulaamii se aazaad karjavaano.n ko piiro.n kaa ustaad karharii shaaKH-e-millat tire nam se hainafas is badan me.n tire dam se haita.Dapne pha.Dakne kii taufiiq dedil-e-murtazaa soz-e-siddiiq dejigar se vahii tiir phir paar kartamannaa ko siino.n me.n bedaar kartire aasmaano.n ke taaro.n kii KHairzamiino.n ke shab zinda-daaro.n kii KHairjavaano.n ko soz-e-jigar baKHsh demiraa ishq merii nazar baKHsh demirii naav girdaab se paar karye saabit hai to is ko sayyaar karbtaa mujh ko asraar-e-marg-o-hayaatki terii nigaaho.n me.n hai kaa.enaatmire diida-e-tar kii be-KHvaabiyaa.nmire dil kii poshiida betaabiyaa.nmire naala-e-niim-shab kaa niyaazmirii KHalvat o anjuman kaa gudaazuma.nge.n mirii aarzuu.e.n miriiummiide.n mirii justuju.e.n miriimirii fitrat aa.iina-e-rozgaarGazaalaan-e-afkaar kaa murG-zaarmiraa dil mirii razm-gaah-e-hayaatgumaano.n ke lashkar yaqii.n kaa sabaatyahii kuchh hai saaqii mataa-e-faqiirisii se faqiirii me.n huu.n mai.n amiirmire qaafile me.n luTaa de iseluTaa de Thikaane lagaa de isedamaa-dam ravaa.n hai yam-e-zindagiihar ik shai se paidaa ram-e-zindagiiisii se hu.ii hai badan kii numuudki sho'le me.n poshiida hai mauj-e-duudgiraa.n garche hai sohbat-e-aab-o-gilKHush aa.ii ise mehnat-e-aab-o-gilye saabit bhii hai aur sayyaar bhiianaasir ke phando.n se be-zaar bhiiye vahdat hai kasrat me.n har dam asiirmagar har kahii.n be-chugo.n be-naziirye aalam ye but-KHaana-e-shash-jihaatisii ne taraashaa hai ye somnaatpasand is ko takraar kii KHuu nahii.nki tuu mai.n nahii.n aur mai.n tuu nahii.nman o tuu se hai anjuman-aafrii.nmagar ain-e-mahfil me.n KHalvat-nashii.nchamak us kii bijlii me.n taare me.n haiye chaa.ndii me.n sone me.n paare me.n haiusii ke bayaabaa.n usii ke babuulusii ke hai.n kaa.nTe usii ke hai.n phuulkahii.n us kii taaqat se kohsaar chuurkahii.n us ke phande me.n jibra.iil o huurkahii.n jaza hai shaahiin siimaab ra.nglahuu se chakoro.n ke aaluuda changkabuutar kahii.n aashiyaane se duurpha.Daktaa hu.aa jaal me.n naa-subuurfareb-e-nazar hai sukuun o sabaatta.Daptaa hai har zarra-e-kaa.enaatThahartaa nahii.n kaarvaan-e-vajuudki har lahz hai taaza shaan-e-vajuudsamajhtaa hai tuu raaz hai zindagiifaqat zauq-e-parvaaz hai zindagiibahut us ne dekhe hai.n past o bulandsafar us ko manzil se ba.Dh kar pasandsafar zindagii ke liye barg o saazsafar hai haqiiqat hazar hai majaazulajh kar sulajhne me.n lazzat useta.Dapne pha.Dakne me.n raahat usehu.aa jab use saamnaa maut kaakaThin thaa ba.Daa thaamnaa maut kaautar kar jahaan-e-makaafaat me.nrahii zindagii maut kii ghaat me.nmazaaq-e-du.ii se banii zauj zaujuThii dasht o kohsaar se fauj faujgul is shaaKH se TuuTte bhii raheisii shaaKH se phuuTte bhii rahesamajhte hai.n naadaa.n use be-sabaatubhartaa hai miT miT ke naqsh-e-hayaatba.Dii tez jaulaa.n ba.Dii zuud-rasazal se abad tak ram-e-yak-nafszamaana ki zanjiir-e-ayyaam haidamo.n ke ulaT-pher kaa naam haiye mauj-e-nafs kyaa hai talvaar haiKHudii kyaa hai talvaar kii dhaar haiKHudii kyaa hai raaz-daruun-hayaatKHudii kyaa hai bedaari-e-kaa.enaatKHudii jalva badmast o KHalvat-pasandsamundar hai ik buu.nd paanii me.n banda.ndhere ujaale me.n hai taabnaakman o tuu me.n paidaa man o tuu se paakazal us ke piichhe abad saamnena had us ke piichhe na had saamnezamaane ke dariyaa me.n bahtii hu.iisitam us kii maujo.n ke sahtii hu.iitajassus kii raahe.n badaltii hu.iidamaa-dam nigaahe.n badaltii hu.iisubuk us ke haatho.n me.n sa.ng-e-giraa.npahaa.D us kii zarbo.n se reg-e-ravaa.nsafar us kaa anjaam o aaGaaz haiyahii us kii taqviim kaa raaz haikiran chaa.nd me.n hai sharar sang me.nye be-ra.ng hai Duub kar rang me.nise vaasta kyaa kam-o-besh senasheb o faraaz o pas-o-pesh seazal se hai ye kashmakash me.n asiirhu.ii KHaak-e-aadam me.n suurat-paziirKHudii kaa nasheman tire dil me.n haifalak jis tarah aa.nkh ke til me.n haiKHudii ke nigahbaa.n ko hai zahr-naabvo naa.n jis se jaatii rahe us kii aabvahii naa.n hai us ke liye arjumandrahe jis se duniyaa me.n gardan bulandKHudii faal-e-mahmuud se darguzarKHudii par nigah rakh ayaazii na karvahii sajda hai laa.iq-e-ehtimaamki ho jis se har sajda tujh par haraamye aalam ye ha.ngaama-e-ra.ng-o-sautye aalam ki hai zer-e-farmaan-e-mautye aalam ye but-KHaana-e-chashm-o-goshjahaa.n zindagii hai faqat KHurd o noshKHudii kii ye hai manzil-e-avvalii.nmusaafir ye teraa nasheman nahii.ntirii aag is KHaak-daa.n se nahii.njahaa.n tujh se hai tuu jahaa.n se nahii.nba.Dhe jaa ye koh-e-giraa.n to.D kartilism-e-zamaan-o-makaa.n to.D karKHudii sher-e-maulaa jahaa.n us kaa saidzamii.n us kii said aasmaa.n us kaa saidjahaa.n aur bhii hai.n abhii be-numuudki KHaalii nahii.n hai zamiir-e-vajuudhar ik muntazir terii yalGaar kaatirii shauKHi-e-fikr-o-kirdaar kaaye hai maqsad gardish-e-rozgaarki terii KHudii tujh pe ho aashkaartuu hai faatah-e-aalam-e-KHuub-o-zishttujhe kyaa bataa.uu.n tirii sarnavishthaqiiqat pe hai jaama-e-harf-e-ta.nghaqiiqat hai aa.iina-e-guftaar-e-za.ngfarozaa.n hai siine me.n sham-e-nafasmagar taab-e-guftaar rakhtii hai basagar yak-sar-e-muu-e-bartar paramfaroG-e-tajallii ba-sozad param
kaun aayaa haiko.ii nahii.n aayaa hai paagal
uTTho mirii duniyaa ke Gariibo.n ko jagaa dokaaKH-e-umraa ke dar o diivaar hilaa dogarmaa.o Gulaamo.n kaa lahuu soz-e-yaqii.n sekunjishk-e-faromaaya ko shaahii.n se la.Daa dosulataani-e-jamhuur kaa aataa hai zamaanajo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aa.e miTaa dojis khet se dahqaa.n ko mayassar nahii.n roziius khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa dokyuu.n KHaaliq o maKHluuq me.n haa.il rahe.n pardepiiraan-e-kaliisaa ko kaliisaa se uThaa dohaq raa ba-sajuude sanamaa.n raa ba-tavaafebehtar hai charaaG-e-haram-o-dair bujhaa domai.n naa-KHush o be-zaar huu.n marmar kii silo.n semere liye miTTii kaa haram aur banaa dotahziib-e-navii kaargah-e-shiishagaraa.n haiaadaab-e-junuu.n shaa.ir-e-mashriq ko sikhaa do
shola-e-dard jo pahluu me.n lapak uTThegaadil kii diivaar pe har naqsh damak uTThegaahalqa-e-zulf kahii.n gosha-e-ruKHsaar kahii.nhijr kaa dasht kahii.n gulshan-e-diidaar kahii.nlutf kii baat kahii.n pyaar kaa iqraar kahii.n
Tuk hirs-o-havaa ko chho.D miyaa.n mat des bides phire maaraaqazzaaq ajal kaa luuTe hai din raat bajaa kar naqqaaraakyaa badhiyaa bhai.nsaa bail shutur kyaa gaune.n pallaa sar-bhaaraakyaa gehuu.n chaa.nval moTh maTar kyaa aag dhu.aa.n aur a.ngaaraasab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books