SEARCH RESULTS
Showing search results for "nashista"
Sher MATCHES FOR "nashista"
Sher
Muneer Niyazi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
shaa.er ko mast kartii hai taariif-e-sher 'amiir'
sau botalo.n kaa nashsha hai is vaah vaah me.n
Ameer Minai
Sher
havaa me.n nashsha hii nashsha fazaa me.n rang hii ra.ng
ye kis ne pairahan apnaa uchhaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
nashsha thaa zindagii kaa sharaabo.n se tez-tar
ham gir pa.De to maut uThaa le ga.ii hame.n
Irfan Ahmad
Sher
KHudii kaa nashsha cha.Dhaa aap me.n rahaa na gayaa
KHudaa bane the 'yagaanaa' magar banaa na gayaa
Yagana Changezi
Sher
maazii se ubhrii.n vo zinda tasviire.n
utar gayaa sab nashsha na.e puraane kaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
tum aa ga.e ho tum mujh ko zaraa sambhalne do
abhii to nashsha saa aa.nkho.n me.n intizaar kaa hai
Mohammad Ahmad Ramz
Sher
safar kaa nashsha cha.Dhaa hai to kyuu.n utar jaa.e
maza to jab hai ko.ii lauT ke na ghar jaa.e
Shahryar
Sher
ta.ana-e-nashsha na do sab ko ki kuchh soKHta-jaa.n
shiddat-e-tishna-labii se bhii bahak jaate hai.n
Ahmad Faraz
Sher
taa-marg mujh se tark na hogii kabhii namaaz
par nashsha-e-sharaab ne majbuur kar diyaa
Aagha Akbarabadi
Sher
jo faqr me.n suruur hai shaahii me.n vo kahaa.n
ham bhii rahe hai.n nashsha-e-daulat me.n chaar din
A G Josh
Sher
mai-kade me.n nashsha kii ainak dikhaatii hai mujhe
aasmaa.n mast o zamii.n mast o dar-o-diivaar mast
Haidar Ali Aatish
Sher
Alam Khursheed
Sher
mai.n thaa kisii kii yaad thii jaam-e-sharaab thaa
ye vo nashist thii jo sahar tak jamii rahii