SEARCH RESULTS
Showing search results for "natiija"
Sher MATCHES FOR "natiija"
Sher
tum jo parde me.n sa.nvarte ho natiija kyaa hai
lutf jab thaa ki ko.ii dekhne vaalaa hotaa
Jaleel Manikpuri
Sher
kahuu.n kuchh un se magar ye KHayaal hotaa hai
shikaayato.n kaa natiija malaal hotaa hai
Qamar Badayuni
Sher
puuchho na kuchh sabab mire haal-e-tabaah kaa
ulfat kaa ye samar hai natiija hai chaah kaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
mohabbat kaa natiija hai jo ab tak saath hai.n dono.n
agar kuchh aur hotaa to judaa ham ho ga.e hote
Raghvendra Dwivedi
Sher
Aftab Hussain
Sher
Jamal Ehsani
Sher
ye apne hii kirdaar kaa hai natiija
jo rab kii taraf se ye ham par Gazab hai
Karamat Ali Karamat
Sher
Gam natiija hai KHushii kii intihaa kaa ai 'kaliim'
dil kii ik ik mauj mauj-e-shaadmaanii ho to kyaa
Kaleem Ahmadabadi
Sher
guftuguu der se jaarii hai natiije ke baGair
ik na.ii baat nikal aatii hai har baat ke saath
Aitbar Sajid
Sher
dil ke mu.aamale me.n natiije kii fikr kyaa
aage hai ishq jurm-o-sazaa ke maqaam se
Sahir Ludhianvi
Sher
Javed Akhtar
Sher
ibtidaa se aaj tak 'naatiq' kii ye hai sarguzisht
pahle chup thaa phir hu.aa diivaana ab behosh hai
Natiq Lakhnavi
Sher
is baar milii hai jo natiije me.n buraa.ii
kaam aa.ii hai apnii ko.ii achchhaa.ii hamaare