SEARCH RESULTS
Showing search results for "natiija"
Ghazal MATCHES FOR "natiija"
Ghazal
mire junuu.n kaa natiija zaruur niklegaa
isii siyaah samundar se nuur niklegaa
Ameer Qazalbash
Ghazal
mahshar kaa KHair kuchh bhii natiija ho ai 'adam'
kuchh guftuguu to khul ke kare.nge KHudaa ke saath
Abdul Hamid Adam
Ghazal
ham savaalaat kaa hal soch rahe ho.n abhii tak
aur maathe pe mohabbat kaa natiija lag jaa.e
Zafar Iqbal
Ghazal
kyaa bhalaa mujh ko parakhne kaa natiija niklaa
zaKHm-e-dil aap kii nazro.n se bhii gahraa niklaa
Muzaffar Warsi
Ghazal
sochte kuchh hai.n amal kuchh hai natiija kuchh hai
aisii suurat me.n ko.ii mas.ala hal kaise ho
Ashfaq Husain
Ghazal
niklaa nahii.n hai ko.ii natiija yahaa.n 'zafar'
karne ke baavajuud na bharne ke baavajuud
Zafar Iqbal
Ghazal
dekhiye mahfil-e-saaqii kaa natiija kyaa ho
baat shiishe kii pahu.nchne lagii paimaane tak
Qamar Jalalvi
Ghazal
be-natiija be-samar ja.ng-o-jadal suud o ziyaa.n
saarii jiite.n ek jaisii saarii maate.n ek sii
Muneer Niyazi
Ghazal
natiija karbalaa se muKHtalif ho yaa vahii ho
madiina chho.Dne kaa faisla karnaa pa.Degaa
Iftikhar Arif
Ghazal
tuu mujhe yaad kare aisaa tariiqa nikle
merii yak-tarfa mohabbat kaa natiija nikle
Ibrahim Ali Zeeshan
Ghazal
tuu ne miTTii se ulajhne kaa natiija dekhaa
Daal dii mere badan ne tirii talvaar pe KHaak
Irfan Siddiqi
Ghazal
bas ek raat Thaharne kaa ye natiija hai
saraa-e-faanii ko duniyaa samajh rahe hai.n ham
Bharat Bhushan Pant
Ghazal
chalte rahne ke liye dil me.n gumaa.n ko.ii to ho
be-natiija hii sahii par imtihaa.n ko.ii to ho
Madan Mohan Danish
Ghazal
pechiida zindagii ke karo tum muqaddame
dikhlaa hii degii maut natiija nikaal ke
Akbar Allahabadi
Ghazal
Shaukat Thanvi
Ghazal
aa.nsu.o.n kaa rizq ho.ngii be-natiija chaahate.n
KHushk ho.nTo.n par laraztii ik du'aa rah jaa.egii
Amjad Islam Amjad
Ghazal
kis zindagii ke vaaste daulat kii aarzuu
dekho natiija Gaur se qaaruu.n ke maal kaa
Aagha Akbarabadi
Ghazal
merii mahduud basaarat kaa natiija niklaa
aasmaa.n mere tasavvur se bhii halkaa niklaa