SEARCH RESULTS
Showing search results for "navardii"
Sher MATCHES FOR "navardii"
Sher
allaah re zauq-e-dasht-navardii ki ba.ad-e-marg
hilte hai.n KHud-ba-KHud mire andar kafan ke paa.nv
Mirza Ghalib
Sher
rahrav-e-raah-e-mohabbat rah na jaanaa raah me.n
lazzat-e-sahraa-navardii duurii-e-manzil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
bajaa hai KHvaab-navardii pa KHvaab aaise ho.n
khule jo aa.nkh to apnaa hii ghar kha.nDar na lage
Siddiq Shahid
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
shaGl thaa dasht-navardii kaa kabhii ai 'taabaa.n'
ab gulistaa.n me.n bhii jaate hu.e Dar lagtaa hai
Anwar Taban
Sher
Shah Naseer
Sher
suujhii hai ulTii dasht-navardii me.n ai junuu.n
paa.nv me.n aable kii tarah se kulaah ho
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
sho.ala-e-ishq tirii chashm-navardii me.n nahii.n
mere siine me.n utar dekh yahaa.n uThtaa hai
Moid Rasheedi
Sher
Allama Iqbal
Sher
vo ham-safar thaa magar us se ham-navaa.ii na thii
ki dhuup chhaa.nv kaa aalam rahaa judaa.ii na thii
Naseer Turabi
Sher
mehnat se hai azmat ki zamaane me.n nagii.n ko
be-kaavish-e-siina na kabhii naamvarii dii
Bahadur Shah Zafar
Sher
sitam-navaazii-e-paiham hai ishq kii fitrat
fuzuul husn pe tohmat lagaa.ii jaatii hai
Shakeel Badayuni
Sher
mil rahii hai mujhe naa-karda gunaaho.n kii sazaa
mere maalik mire sajde mujhe vaapas kar de
Fay Seen Ejaz
Sher
naa-karda gunaaho.n kii bhii hasrat kii mile daad
yaa rab agar in karda gunaaho.n kii sazaa hai
Mirza Ghalib
Sher
rah-navard-e-bayaabaan-e-Gam sabr kar sabr kar
kaarvaa.n phir mile.nge baham sabr kar sabr kar
Nasir Kazmi
Sher
samjhaa.e.n kis tarah dil-e-naa-kardaa-kaar ko
ye dostii samajhtaa hai dushman ke pyaar ko
Mubarak Azimabadi
Sher
ik din to lipaT jaa.e tasavvur hii se tere
ye bhii dil-e-naamard ko jur.at nahii.n miltii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ishq ne mansab likhe jis din mirii taqdiir me.n
daaG kii naqadii milii sahraa milaa jaagiir me.n
Baqaullah 'Baqa'
Sher
rakhiyo 'Gaalib' mujhe is talKH-navaa.ii me.n mu.aaf
aaj kuchh dard mire dil me.n sivaa hotaa hai
Mirza Ghalib
Sher
piir-e-muGaa.n ke paas vo daaruu hai jis se 'zauq'
naamard mard mard-e-javaa.n-mard ho gayaa