SEARCH RESULTS
Showing search results for "navardii"
Ghazal MATCHES FOR "navardii"
Ghazal
rahrav-e-raah-e-mohabbat rah na jaanaa raah me.n
lazzat-e-sahraa-navardii duurii-e-manzil me.n hai
Bismil Azimabadi
Ghazal
bhuule se muskuraa to diye the vo aaj 'faiz'
mat puuchh valvale dil-e-naa-kardaa-kaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
phir bahaar aa.ii vahii dasht-navardii hogii
phir vahii paa.nv vahii KHaar-e-muGiilaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Ghazal
Zulfiqar Aadil
Ghazal
allaah-re zauq-e-dasht-navardii ki ba.ad-e-marg
hilte hai.n KHud-ba-KHud mire andar kafan ke paa.nv
Mirza Ghalib
Ghazal
maana-e-dasht-navardii ko.ii tadbiir nahii.n
ek chakkar hai mire paa.nv me.n zanjiir nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
hamaarii dasht-navardii ko gumrahii na samajh
bhaTakne vaale nayaa raasta banaate hai.n
Khurshid Talab
Ghazal
Fana bulandshahri
Ghazal
Aashufta Changezi
Ghazal
is liye aa ke tire shahr me.n aabaad hu.e
ham ko is dasht-navardii se bhii lenaa kyaa thaa
Shahzad Ahmad
Ghazal
ham ne bhii dasht-navardii to bahut kii 'shahzaad'
haath pahu.nchaa na kisii laala-e-sahraa.ii tak
Shahzad Ahmad
Ghazal
Ehsan Danish
Ghazal
maana-e-dasht-navardii mujhe zindaa.n na hu.aa
dar-o-diivaar se kuchh hosh kaa saamaa.n na hu.aa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
Hammad Niyazi
Ghazal
aablo.n ko sar uThaane kii zaraa mohlat nahii.n
hai karam sahraa-navardii me.n ye nok-e-KHaar kaa
Ahsan Marahravi
Ghazal
phir dasht-navardii ne dikhaa.ii ye karaamat
mai.n shahr me.n thaa shahr-badar hote hu.e bhii
Shozeb Kashir
Ghazal
mai.n tere ishq me.n sahraa-navardii kyaa kartaa
abhii to paa.nv me.n zanjiir thii zaruurat kii