SEARCH RESULTS
Showing search results for "naved"
Sher MATCHES FOR "naved"
Sher
tirii naved me.n har daastaa.n ko sunte hai.n
tirii umiid me.n har rahguzar ko dekhte hai.n
Qalaq Merathi
Sher
Alexandra Hedderly Azad
Sher
judaa hu.e to judaa.ii me.n ye kamaal bhii thaa
ki us se raabta TuuTaa bhii thaa bahaal bhii thaa
Naved Raza
Sher
meraa vajuud jazb hu.aa tere jism me.n
ab mujh ko apne jism ke andar talaash kar
Aliuddeen Naved
Sher
kuchh is tarah se kahaa mujh se baiThne ke liye
ki jaise bazm se us ne uThaa diyaa hai mujhe
Meer Ahmad Naved
Sher
tirii judaa.ii kaa mausam bhii KHuub-suurat hai
mujhe nikaal rahaa hai KHumaar se baahar
Mohammad Naved Mirza
Sher
mai.n apne hijr me.n thaa mubtalaa azal se magar
tire visaal ne mujh se milaa diyaa hai mujhe
Meer Ahmad Naved
Sher
KHvaahisho.n ke pe.D se girte hu.e patte na chun
zindagii ke sehn me.n ummiid kaa paudaa lagaa
Iqbal Naved
Sher
charaaG-haa-e-takalluf bujhaa diye ga.e hai.n
uThaa.o jaam ki parde uThaa diye ga.e hai.n
Meer Ahmad Naved
Sher
zaKHm-e-talaash me.n hai nihaa.n marham-e-daliil
tuu apnaa dil na haar mohabbat bahaal rakh
Meer Ahmad Naved
Sher
KHud se guzre to qayaamat se guzar jaa.e.nge ham
ya.anii har haal kii haalat se guzar jaa.e.nge ham
Meer Ahmad Naved
Sher
pesh-e-zamii.n rahuu.n ki pas-e-aasmaa.n rahuu.n
rahtaa huu.n apne saath mai.n chaahe jahaa.n rahuu.n
Meer Ahmad Naved
Sher
dil par terii chup se lagne vaalaa daaG
aisaa daaG hai jis ko dho nahii.n saktaa mai.n
Naved Raza
Sher
jo mil ga.e to tava.ngar na mil sake to gadaa
ham apnii zaat ke andar chhupaa diye ga.e hai.n