SEARCH RESULTS
Showing search results for "nazr-e-dil-farebi-e-unvaa.n"
Sher MATCHES FOR "nazr-e-dil-farebi-e-unvaa.n"
Sher
ye husn-e-dil-fareb ye aalam shabaab kaa
goyaa chhalak rahaa hai piyaala sharaab kaa
Asar Sahbai
Sher
fariyaad ai tasavvur-e-abruu-e-dil-fareb
qible kii samt bhuul gayaa huu.n namaaz me.n
Jaleel Manikpuri
Sher
saalik hai garche sair-e-maqaamaat-e-dil-fareb
jo ruk ga.e yahaa.n vo maqaam-e-KHatar me.n hai.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
javaano nazr de do apne KHuun-e-dil kaa har qatra
likhaa jaa.egaa hindostaan ko farmaan-e-aazaadii
Nazish Partap Gadhi
Sher
ye hai aavaara-tabii.at aur vo naazuk-mizaaj
mai.n dil-e-vaarafta nazr-e-yaar kar saktaa nahii.n
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
Rasheed Lakhnavi
Sher
har shaKHs ko fareb-e-nazar ne kiyaa shikaar
har shaKHs gum hai gumbad-e-jaa.n ke hisaar me.n
Farrukh Zohra Gilani
Sher
mirii samajh me.n aa gayaa har ek raaz-e-zindagii
jo dil pe choT pa.D ga.ii to duur tak nazar ga.ii
Unwan Chishti
Sher
'anvar' ne badle jaan ke lii jins-e-dard-e-dil
aur is pe naaz ye ki ye saudaa giraa.n na thaa
Anwar Dehlvi
Sher
nazar aa.e kyaa mujh se faanii kii suurat
ki pinhaa.n huu.n dard-e-nihaanii kii suurat
Anwar Dehlvi
Sher
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
ai dil-e-naadaa.n kisii kaa ruuThnaa mat yaad kar
aan Tapkegaa ko.ii aa.nsuu bhii is jhag.De ke biich
Anwar Masood
Sher
sukuun-e-dil na mayassar hu.aa zamaane me.n
na yaad rakhne me.n tum ko na bhuul jaane me.n