SEARCH RESULTS
Showing search results for "nazr-e-haq"
Sher MATCHES FOR "nazr-e-haq"
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
ek ta.abiir kii suurat nazar aa.ii hai idhar
so uThaa laayaa huu.n sab KHvaab puraane vaale
Anjum Saleemi
Sher
ham ko bhii KHush-numaa nazar aa.ii hai zindagii
jaise saraab duur se dariyaa dikhaa.ii de
Mahshar Badayuni
Sher
kyuu.n mujh ko nazr-e-aatish-e-ehsaas kar diyaa
kyuu.n jaan Daal kar mirii miTTii KHaraab kii
Habeeb Amrohvi
Sher
gale lagaa ke kiyaa nazr-e-sho.ala-e-aatish
qafas se chhuuT ke phir aashiyaa.n mile na mile
Anand Narayan Mulla
Sher
zaahid umiid-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai
pahle sharaab pii ke gunaah-gaar bhii to ho
Ameer Minai
Sher
gar shaiKH azm-e-manzil-e-haq hai to aa idhar
hai dil kii raah siidhii va ka.abe kii raah kaj
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
ham me.n hii aalam-e-akbar hu.e go jurm-e-saGiir
maz.har-e-jalva-e-haq hazrat-e-insaa.n hai.n ham
Meer Hasan
Sher
ye karbalaa hai nazr-e-balaa ham hu.e ki tum
naamuus-e-qaafila pe fidaa ham hu.e ki tum
Rais Amrohvi
Sher
Siraj Lakhnavi
Sher
aah kyaa kyaa aarzuu.e.n nazr-e-hirmaa.n ho ga.ii.n
ro.iye kis kis ko aur kis kis kaa maatam kiijiye
Asar Sahbai
Sher
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
mauj-e-tuufaa.n se nikal kar bhii salaamat na rahe
nazr-e-saahil hu.e dariyaa ke shanaavar kitne
Shaukat Pardesi
Sher
ham aise ahl-e-nazar ko subuut-e-haq ke liye
agar rasuul na hote to sub.h kaafii thii
Josh Malihabadi
Sher
Nisar Itavi
Sher
ye hai aavaara-tabii.at aur vo naazuk-mizaaj
mai.n dil-e-vaarafta nazr-e-yaar kar saktaa nahii.n