SEARCH RESULTS
Showing search results for "nazre.n"
Sher MATCHES FOR "nazre.n"
Sher
jis taraf tuu hai udhar ho.ngii sabhii kii nazre.n
iid ke chaa.nd kaa diidaar bahaana hii sahii
Amjad Islam Amjad
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Zeb Ghauri
Sher
Shayar Jamali
Sher
kisii ke raste pe kaise nazre.n jamaa.e rakkhuu.n
abhii to karnaa mujhe hai KHud intizaar meraa
Alam Khursheed
Sher
ishq ko jab husn se nazre.n milaanaa aa gayaa
KHud-ba-KHud ghabraa ke qadmo.n me.n zamaana aa gayaa
Asad Bhopali
Sher
ho intizaar kisii kaa magar mirii nazre.n
na jaane kyuu.n tirii aamad kii raah taktii hai.n
Arshad Siddiqui
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
aashnaa nazre.n to kab kii ho ga.ii.n naa-aashnaa
phir bhii aadat sii hai aate-jaate vo ghar dekhnaa
Priyamvada Ilhan
Sher
kyuu.n niichii nazre.n kar lii.n miyaa.n ye to tuu bataa
aa.iina dekhte hii tujhe kyaa hayaa lagii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mauquuf fasl-e-gul pe nahii.n raunaq-e-chaman
nazre.n javaan ho.n to KHizaa.n bhii bahaar hai
Arshi Bhopali
Sher
tuu ne nazre.n na milaane kii qasam khaa.ii hai
aa.ina saamne rakh kar tiraa chehra dekhe.n