SEARCH RESULTS
Showing search results for "ne.amat-e-sharaab"
Sher MATCHES FOR "ne.amat-e-sharaab"
Sher
dariyaa-e-sharaab us ne bahaayaa hai hamesha
saaqii se jo kashtii ke talabgaar hu.e hai.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
hamesha mai-kade me.n KHush-qado.n kaa majma.a hai
hazaaro.n sarv lage hai.n kanaar-e-juu-e-sharaab
Muneer Shikohabadi
Sher
huzuur-e-duKHtar-e-raz haath paa.nv kaa.npte hai.n
tamaam masto.n ko ra.asha hai ruu-ba-ruu-e-sharaab
Muneer Shikohabadi
Sher
Hasrat Azimabadi
Sher
jo zauq hai ki ho daryaaft aabruu-e-sharaab
to chashm-e-jaam se ai shaiKH dekh suu-e-sharaab
Muneer Shikohabadi
Sher
KHvaan-e-falak pe ne.amat-e-alvaan hai kahaa.n
KHaalii hai.n mahr-o-maah kii dono rikaabiyaa.n
Taban Abdul Hai
Sher
ne.amat-e-alvaan bhii KHvaan-e-falak kii dekh lii
maah naan-e-KHaam hai aur mahr naan-e-soKHta
Taban Abdul Hai
Sher
zaahid sabhii hai.n ne.amat-e-haq jo hai akl-o-shurb
lekin ajab maza hai sharaab o kabaab kaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
mu.nh me.n vaa.iz ke bhii bhar aataa hai paanii aksar
jab kabhii tazkira-e-jaam-e-sharaab aataa hai
Bekhud Dehlvi
Sher
sarso.n jo phuulii diida-e-jaam-e-sharaab me.n
bint-ul-anab se karne lagaa shoKHiyaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
vaa.iz ba.Daa mazaa ho agar yuu.n azaab ho
dozaKH me.n paa.nv haath me.n jaam-e-sharaab ho
Dagh Dehlvi
Sher
shukriya ai gardish-e-jaam-e-sharaab
mai.n bharii mahfil me.n tanhaa ho gayaa
Salam Machhli shahri
Sher
dekhaa hai kis nigaah se tuu ne sitam-zariif
mahsuus ho rahaa hai mai.n Garq-e-sharaab huu.n
Abdul Hamid Adam
Sher
namaaz shukr kii pa.Dhtaa hai jaam to.D ke shaiKH
vuzuu ke vaaste letaa hai aabruu-e-sharaab