SEARCH RESULTS
Showing search results for "nek-baKHt"
Sher MATCHES FOR "nek-baKHt"
Sher
dhuum naalo.n ne yahaa.n tak to machaa.ii hai 'sharar'
baKHt-e-KHufta ko dil-e-zaar ne sone na diyaa
Ali Bakhsh Sharar
Sher
shikva na baKHt se hai ne aasmaa.n se mujh ko
pahu.nchii jo kuchh aziyyat apne gumaa.n se mujh ko
Qayem Chaandpuri
Sher
dii shab-e-vasl mo.azzin ne azaa.n pichhlii raat
haa.e kam-baKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
qaasid ne KHabar aamad-e-dilbar kii u.Daa dii
aayaa bhii to kam-baKHt ne be-par kii u.Daa dii
Muztar Khairabadi
Sher
aa.nkh kam-baKHt se us bazm me.n aa.nsuu na rukaa
ek qatre ne Duboyaa mujhe dariyaa ho kar
Hafeez Jalandhari
Sher
mujhe kaafir hii bataataa hai ye vaa.iz kam-baKHt
mai.n ne bando.n me.n ka.ii baar KHudaa ko dekhaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
jis nuur ke bakke ko mah-o-KHur ne na dekhaa
kam-baKHt ye dil loTe hai us parda-nashii.n par
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
kii dil ne dil-baraan-e-jahaa.n kii bahut talaash
ku.i dil-rubaa milaa hai na dil-KHvaah kyaa kare
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
Anjum Manpuri
Sher
shaayad mizaaj ham se mukaddar hai yaar kaa
likkhaa hai us ne ham ko ba-KHatt-e-Gubaar KHat