aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "nek-baKHt"
naqsh-e-faryaadiibanaa phirtaa huu.n mai.n baazaar me.nkaaGazii ik pairahanbas Dhuu.nDhtaa-phirtaa huu.n mai.npar vo miltaa hii nahii.nkis tarah apnii shikaayat ke liye pahu.nchuu.nbaadshaah-e-vaqt ke darbaar me.nbaadshaah bad-baKHt haihar-vaqt rahtaa hai madiraa me.n asiirye madiraa vo hai us ke zehn me.n hai jo bhariiis madiraa ke hii kaaranus ne apne des ke logo.n kehulquum tak hai.n kaaT Daaleaur sachche nek logo.n aur valiyo.n ke maqaabir to.D kenaaliyaa.n sa.Dke.n banaa dii.nab nihaayat faKHr se kahtaa hai vomai.n KHudaa huu.n is zamaane kaaaur sab ko maar kezinda rahuu.ngaa mai.n sadaanaam is kaa mai.n kyaa luu.nsab jaante hai.n us kaa naamai asadullaah Gaalib tum bataa.okyaa karuu.n
biibiyojannatii hai vo biivii jo shauhar ke aane se pahlesaje aur sa.nvremuu-ba-muu motiyo.n ko piro.eishtihaa-KHez KHushbuu bhare qaab khaano.n ke tayyaar rakkheroTiyaa.n garm aur narm bistar kaa ho ehtimaamaaftaabesard aur garm paanii ke maujuud ho.nvahaa.n na jaane use sard paanii kii KHvaahish ho yaa garm kiius kii KHvaahish kaa ko.ii bharosaa nahii.ntaaki us kaa majaazii KHudaa us kaa maalik jo aa.ezaruurat kii har chiiz bin maa.nge paa.eaur haa.n biibiyoik chha.Dii bed kii KHuub mazbuut siivo bhii rakhnaa na bhuulekaun jaane sa'uubat ke maidaa.n kaa haaraa thakaa vo sipaahiishomii-e-baKHt senaa-muraadii ke zaKHmo.n se lith.Daa hu.aa aa rahaa hojo aa.e Dhuu.nDne kii na zahmat uThaa.enek biibii ke bechaara shaano.n se resham kaa rangii.n labaadaus chha.Dii se haTaa karapnii naakaamiyo.n kaa lahuu us ke shaffaaf naazuk badan par chhi.Dak detaaki phir chain kii nii.nd vo so sakehaa.n majaazii KHudaa hai hotaa sajda KHudaa ke sivaa gar kisii ko ravaa tousii ko ravaa hai usii ne to tum ko bachaa ke zamaane kiidhuupo.n se ghar ke hisaaro.n me.n mahfuuz rakkhaa us kii mehnatke paa.e hu.e rizq se hii to daaman tumhaaraa bharaaso mirii biibiyo jannatii hai vo biiviijo shauhar kii KHvaahish pe jiitii rahiidin ko us ne kahaa raat to us ne bhii raat samjhaaus kii KHaatir vo mar-mar ke zinda rahiius kii KHaatir mariisiidhii jannat sidhaaregii pursish na hogii gunaaho.n kiisab mu'aaf ho.ngevaa'z me.nkahne vaalii ne itnaa kahaa aur chup ho ga.iinek biibii kii baKHshish kaa muzhda sunaayaamagar aisaa shauhar kahaa.n jaa.egaa us kii baabat kisii ko na kuchh bhii bataayaaKHudaayaa KHudaayaasaf-ba-saf nasl-dar-nasl be-mol kii ye kaniize.ninhe.n un ke hone kaa ehsaastuu hii 'ataa kar
ai mirii ummiid merii jaa.n-navaazai mirii dil-soz merii kaarsaazmerii sipar aur mire dil kii panaahdard-o-musiibat me.n mirii takiya-gaahaish me.n aur ranj mai.n merii shafiiqkoh me.n aur dasht me.n merii rafiiqkaaTne vaalii Gam-e-ayyaam kiithaamne vaalii dil-e-naakaam kiidil pa pa.Daa aan ke jab ko.ii dukhtere dilaase se milaa ham ko sukhtuu ne na chho.Daa kabhii Gurbat me.n saathtuu ne uThaayaa na kabhii sar se haathjii ko ho kabhii agar usrat kaa ra.njkhol diye tuu nai qanaa.at ke ganjtujh se hai mohtaaj kaa dil be-hiraastujh se hai biimaar ko jiine kii aasKHaatir-e-ranjuur kaa darmaa.n hai tuuaashiq-e-mahjuur kaa iimaa.n hai tuunuuh kii kashtii kaa sahaaraa thii tuuchaah me.n yuusuf kii dil-aaraa thii tuuraam ke ham-raah cha.Dhii ran me.n tuupaa.nDav ke bhii saath phirii ban me.n tuutuu ne sadaa qais kaa bahlaayaa dilthaam liyaa jab kabhii ghabraayaa dilho gayaa farhaad kaa qissa tamaampar tire fiqro.n pe rahaa KHush mudaamtuu ne hii raa.njhe kii ye ba.ndhvaaii aashiir thii furqat me.n bhii goyaa ki paashotii hai tuu pusht pe himmat kii jabmushkile.n aasaa.n nazar aatii hai.n sabhaath me.n jab aa ke liyaa tuu ne haatsaat samundar se guzarnaa hai baatsaath milaa jis ko tiraa do qadamkahtaa hai vo ye hai arab aur ajamgho.De kii lii apne jahaa.n tuu ne baagsaamne hai tere gayaa aur praagazm ko jab detii hai tuu mel jastgumbad-e-garduu.n nazar aataa hai pasttuu ne diyaa aa ke ubhaaraa jahaa.nsamjhe ki muTThii me.n hai saaraa jahaa.nzarre ko KHurshiid me.n de khapaabande ko allaah se de tuu milaadono.n jahaa.n kii hai ba.ndhii tujh se la.Ddiin kii tuu asl hai duniyaa kii ja.Dnekiyo.n kii tujh se hai qaa.em asaastuu na ho to jaa.e.n na nekii ke paasdiin kii tujh bin kahii.n pursish na hotuu na ho to haq kii parastish na hoKHushk thaa bin tere daraKHt-e-amaltuu ne lagaa.e hai.n ye sab phuul phaldil ko lubhaatii hai kabhii ban ke huurgaah dikhaatii hai sharaab-e-tahuurnaam hai sidra kabhii tuubaa tiraaroz niraalaa hai tamaashaa tiraakausar o tasniim hai yaa salsabiiljalve hai.n sab tere ye be-qaal-o-qiilruup hai.n har panth me.n tere alaghai kahii.n firdaus kahii.n hai sovargchhuuT ga.e saare qariib aur ba.iidek na chhuuTii to na chhuuTii umiidtere hii dam se kaTe jo din the saKHttere hii sadqe se milaa taaj-o-taKHtKHaakiyo.n kii tujh se hai himmat bulandtuu na ho to kaam ho.n duniyaa ke bandtujh se hii aabaad hai kaun-o-makaa.ntuu na ho to hai bhii barham jahaa.nko.ii pa.Dtaa phirtaa hai bahr-e-ma.aashhai ko.ii iksiir ko kartaa talaashik tamannaa me.n hai aulaad kiiek ko dil-daar kii hai lau lagiiek ko hai dhan jo kuchh haath aa.edhuum se aulaad kii shaadii rachaa.eek ko kuchh aaj agar mil gayaakal kii hai ye fikr ki khaa.e.nge kyaaqaum kii bahbuud kaa bhuukaa hai ekjin me.n ho un ke liye anjaam-e-nekek ko hai tishnagii-e-qurb-e-haqjis ne kiyaa dil se jigar tak hai shaqjo hai Garaz us kii na.ii justujuulaakh agar dil hai.n to laakh aarzuutujh se hai.n dil sab ke magar baaG baaGgul ko.ii hone nahii.n paataa charaaGsab ye samajhte hai.n ki paa.ii muraadkahtii hai jab tuu ki ab aa.ii muraadva.ada tiraa raast ho yaa ho daroGtuu ne diye hai.n use kyaa kyaa faroGva.ade vafaa kartii hai go chand tuurakhtii hai har ek ko KHursand tuubhaatii hai sab ko tirii lait-o-la.altuu ne kahaa.n siikhii hai ye aaj kaltalKH ko tuu chaahe to shiirii.n karebazm-e-azaa ko tarab-aagii.n kareaane na de ranj ko muflis ke paasrakhe Ganii us ko rahe jis ke paasyaas kaa paatii hai jo tuu kuchh lagaavsaik.Do.n kartii hai utaar aur cha.Dhaa.oaane nahii.n detii dilo.n par hiraasTuuTne detii nahii.n taalib kii aasjin ko mayassar na ho kamlii phaTiiKHush hai.n tavaqqo.a pe vo zar-baft kiichaTnii se roTii kaa hai jin kii banaavbaiThe pakaate hai.n KHayaalii polaavpaa.nv me.n juutii nahii.n par hai ye zauqgho.Daa jo sabza ho to niilaa ho tauqfaiz ke khole hai.n jahaa.n tuu ne baabdekhte hai.n jho.npa.De mahlo.n ke KHvaabtere karishme hai.n Gazab dil-farebdil me.n nahii.n chho.Dte sabr-o-shakebtujh se muhavvis ne jo shuuraa liyaaphuu.nk diyaa kaan me.n kyaa jaane kyaadil se bhulaayaa zan o farzand kolag gayaa ghun naKHl-e-baroma.nd kokhaane se piine se hu.aa sard jiiaisii kuchh iksiir kii hai lau lagiidiin kii hai fikr na duniyaa se kaamdhun hai yahii raat din aur sub.h shaamdho.nknii hai baiTh ke jab dho.nknaashah ko samajhtaa hai ik adnaa gadaapaise ko jab taav pe detaa hai taavpuuchhtaa yaaro.n se hai sone kaa bhaavkahtaa hai jab ha.nste hai.n sab dekh karrah ga.ii ik aa.nch kii baaqii kasarhai isii dhu.nd me.n vo aasuuda-haaltuu ne diyaa aql pe parda saa Daaltol kar gar dekhiye us kii KHushiiko.ii KHushii is ko na pahu.nche kabhiiphirte hai.n mohtaaj ka.ii tiira-baKHtjan ke pairo.n me.n thaa kabhii taaj-o-taKHtaaj jo bartan hai.n to kal ghar karomaltii hai mushkil se inhe.n naan-e-jautaire sivaa KHaak nahii.n in ke paassaarii KHudaa.ii me.n hai le de ke aasphuule samaate nahii.n is aas parsaahib-e-aalam unhe.n kahiye agarkhaate hai.n is aas pa qasme.n ajiibjhuuTe ko ho taKHt na yaa-rab nasiibhotaa hai naumiidiyo.n kaa jab hujuumaatii hai hasrat kii ghaTaa jhuum jhuumlagtii hai himmat kii kamar TuuTnehausla kaa lagtaa hai jii chhuuTnehotii hai be-sabrii o taaqat me.n ja.ngarsa-e-aalam nazar aataa hai ta.ngjii me.n ye aataa hai ki sam khaa.iyephaa.D ke yaa kap.De nikal jaa.iyebaiThne lagtaa hai dil aave kii tarahyaas Daraatii hai chhalaave kii tarahhotaa hai shikva kabhii taqdiir kaau.Dtaa hai KHaaka kabhii tadbiir kaaThantii hai garduu.n se la.Daa.ii kabhiihotii hai qismat kii ha.nsaa.ii kabhiijaataa hai qaabuu se aaKHir dil nikalkartii hai in mushkilo.n ko tuu hii halkaan me.n pahu.nchii tirii aahaT jo hai.nraKHt-e-safar yaas nai baa.ndhaa vahii.nsaath ga.ii yaas ke pazhmurdagiiho ga.ii kaafuur sab afsurdagiitujh me.n chhupaa raahat-e-jaa.n kaa hai bhedchho.Diyo 'haalii' kaa na saath ai umiid
kitne baKHt vaale hozindagii me.n jo chaahaatum ne paa liyaa aaKHirazm aur himmat sefahm se zakaavat sehai tumhaare daaman me.nphuul kaamraanii kaaaur tumhaare maathe parfaKHr kaa sitaara haiab tumhaare chehre paraisii shaadmaanii haiko.ii kah nahii.n saktaadard se bhii vaaqif hoaur tumhaare paa.nv me.nder se khaTaktaa haiaarzuu kaa ik kaa.nTaajis se KHuun ristaa hailaala-zaar raaho.n paris lahuu kii surKHii kiikaa.nptii lakiire.n hai.nin lahuu ke dhabbo.n me.nnaa-tamaam mub.ham siiek baat likhii hai
ai azal se taa-abad saahib-faroGai jamaal-e-be-hijaabuun kohre sedhuup se zar-baftaur resham chaa.ndnii sebaar-haa lene ko mai.n ne le liyaalafz sur ra.ngo.n kaa pairaahan magarphir bhii na mujh se sil sakaatuu ta.ayyun kii hado.n me.n kyuu.n na mujh ko mil sakaa
kaalii billii ne ye bhii nahii.n sochaa ki mai.n kisii nii.nd me.n KHalal ho rahii huu.nus ko to chuuho.n se matlab haiaur ye kam-baKHt apnii bilo.n me.n chhupe kyuu.n nahii.n rahteazal se yahii ho rahaa haigha.Dii ne shaayad baara bajaa diye hai.nye KHudaa ke aaraam kaa vaqt haiaur vo shab bedaar use sone nahii.n deteapne burte par gunaah karte to du.aa.o.n kii naubat hii kyuu.n aatiilekin ye baat un kii samajh me.n nahii.n aa.egiibaato.n ke pher ne hii ham ko janam diyaa haivarna zamii.n ke kokh kahaa.n thiiphir ham ne jannat banaa.ii aur use jahannam me.n jho.nk diyaaab ye pahchaan.naa ba.Daa mushkil hai ki kaun kahaa.n se shuruu.a hotaa hai aur kaun kahaa.n KHatm hotii haipahle daa.ero.n se zaaviye nikalte theab zaaviye daa.ere banaate hai.nmuKHtasar ye ki daliilo.n ne apnaa kaam chho.D diyaa hai
teraa chehra mire vaaste saarii duniyaa ke phuulo.n se afzal hu.aakyaa hu.aa jo ko.ii duusraaus kii KHushbuu se maanuus ho kar use le u.Daaphuul KHushbuu to sab ke liye ek jaise magarun se mahzuuz hote har ik shaKHs kaarang bhii muKHtalif Dhang bhii muKHtaliftum hasii.n ho aur apnii nau.iyat kii vaahid hasii.ndil-nashii.nbe-zararbe-takalluf sii ma.asuum sii baKHt-varbaKHt-var kyaa tumhe.n ilm haimere dil me.n banii ik imaarat jise ham ne mil kar banaayaa larazne lagii haisutuuno.n me.n KHam aa rahaa haimujhe is imaarat ke bosiida hone kaa dukh haiaur is dukh kii baabat mirii aa.nkh kii putliyo.n me.n zaruurat se zyaada namii haimirii zindagii me.n KHudaa kaa diyaa sab haibas ik tumhaarii kamii haijo shaayad hamesha rahegii
magarshahr-e-viiraa.ntumhaare gharo.n maqbaro.n kii mu.nDero.n chhato.n parjo buu.Dhe parindo.n kii sargoshiyaa.n hai.nbhaTaktii hai.n din raat mere sirhaaneko.ii ajnabiiGair-maanuus aavaaz kahtii haiKHudaa jab zamiino.n pe utraa thaabuu.Dhe parindo.n ko maut aa ga.ii thiijabhii shahr-e-viiraa.n kii behad puraaniifasiilo.n me.n guu.ngii daraa.De.n pa.Dii thii.ndaraa.De.n jo khii.nche.n naso.n se haraarataur aise me.n shahr-e-hazii.n ke sabhiibaasiyo.n ne panaah maa.ng lii thiidaraa.Do.n ke shar sepuraane shahr sena.e mausamo.n kiiharaarat naso.n me.n palaT aa.iikirno.n ne suuraj ko paidaa kiyaaaur suuraj ne rango.n ko taqsiim kar kejo naqshe janeun se chehre banechehro.n ne guu.ngii daraa.Do.n ko aavaaz diiaur sajaa.e ba.De hii jatan segalii aur mahallekhurach kar nishaa.n saare maazii ke tere badan senamak-paash chehro.n ne Tisve bahaa.emasaajid madaaris me.n taariiKH-naamo.n ke pahre biThaa.emagar shahr-e-viiraa.nmai.n vo shor baKHt huu.njo buu.Dhe parindo.n kii sargoshiyo.n me.ntumhaare batn kii KHaamushii sun rahii huu.nra.ngaa-rang pardo.n ke piichhe kii viiraaniyaa.nchun rahii huu.n
phir tirii titlii-numaa suurat mujhe yaad aa ga.iimujh ko vo lamha abhii bhuulaa nahii.nek kone me.n ka.ii logo.n ke saathguftuguu me.n munhamik khoyaa hu.aamerii aa.ankho.n ne kabhii tujh saa ko.ii dekhaa na thaamai.n tujhe takne lagaader tak taktaa rahaaaa.nkh se kaano.n se ho.nTo.n se tujhe taktaa rahaakyaa ajab diivaangii thiirashk aayaa baKHt pe apne mujhelafz ke asraar mujh pe vaa hu.eghanTiyaa.n sii mere kaano.n me.n bajii.nnuur ke sailaab me.n Duubii hu.ii is shaam kiiek ik saa.at tire ham-raah hairuk gayaa hai vaqt is ik mo.D parmai.n judaa.ii ke liye majbuur thaatuu judaa.ii par jahaa.n masruur thaa
chi.Diyo.n ne be-tarah sataayaa haimere kamre ko ghar banaayaa haichhat pe un ko jahaa.n milii hai jagahik na ik gho.nsla banaayaa haiain mere pala.ng ke uuparhai jo hissa vo un ko bhaayaa haitaar bijlii kaa hai jo chhat pe lagaavo to miiraas hii me.n paayaa haiko.ii khuu.nTii ho taaq ho dar houn kii jaagiir me.n vo aayaa haisar pe biiTo.n kaa me.nh barastaa haibe-Dhab aisaa ye abr chhaayaa haitakiya par mez par kitaabo.n parmohr kaa saa nishaa.n banaayaa haihissa mujh ko bhii kuchh milaa hai zaruurjab chi.Daa tinke le kar aayaa haiun kii chuu.n chuu.n kaa raag sun kar dilgaanaa sun.ne se ta.ng aayaa haisab ke sar par KHudaa kaa hai saayamujh pe un ke paro.n kaa saaya haiis qadar biiT kartii hai.n kam-baKHtnaak me.n dam har ek kaa aayaa haisub.h se la.D rahii hai.n aapas me.nsar pe saaraa makaan uThaayaa haipa.Dh nahii.n saktaa likh nahii.n saktaais qadar shor-o-Gul machaayaa haiaisaa maaluum hotaa hai goyaameraa kamra nahii.n paraayaa hai
ek din achaanakka.ii lafzmunkir-nakiir kii tarahjhapaak se merii qabr me.n ghus aa.eaksar kii peshaanii par savaalaat ke achambhe thepareshaanii kii baat to thii hiimai.n ne fauran google aur wikipedia ke vaaste dene shuruu' kiyebas phir kyaa thaasaare lafzmere saamne raqs karte hu.ejhaT-paT ra.ng-bira.ngii aavaaze.n pahan karek duusre se lipaT ga.ezaraa sii der me.nsaare rang aapas me.n ulajh ga.eaur ek buDDhaa ulluuye aahanii taKHtii mere gale me.n Daal gayaajis par be-rang KHat me.n kunda haiaaj se ye bad-baKHt dariida-dimaaGlafzo.n par cha.Dhe rang khurchaa karegaaki yahii is kii sazaa haitab se mai.n isii mashaqqat me.n lagaa huu.naur muntazir huu.n ki gale me.n pa.Dii hu.ii taKHtii par lagaa zang mujhe kab nazar aa.egaa
ye KHaraabaki ko.ii gumbad-e-taariik hai yeko.ii suuraaKH nahii.nkoh-e-siyah ke us paar aa.nkh dekhe ko.ii taaraa jugnuuis KHaraabe kii sahar bhii kyaa haibevgiisub.h kii chaukhaT thaameapnii peshaanii kii kho.ii hu.ii bi.ndii me.n gumsurKH ugte hu.e suuraj ko kha.Dii ghuurtii hai
qafas kaa dar khulaa ik niim-jaa.n kam-sinparinda chand KHasta zaa.icho.n par raqs ke andaaz me.n aageba.Dhaa, phir cho.nch se apnaa pasandiidamusavvar zaa.icha us ne uThaayaa aur apne hiihidaayat-kaar ke aageadab se rakh diyaa jhuk karhidaayat-kaar garche nuur se thaa bad-gumaa.n mahruum naa-KHvaa.ndasar-e-sail-e-ravaa.n ik barg-e-be-maayanavisht-e-baKHt ke asraar se vaaqif thaa vo shaayadnazar ke ruu-ba-ruu us nemataa-e-be-nihaayat ke fasaane se mujhe KHush-haal kar Daalaamujhe paamaal kar Daalaasabhii mauj-e-ziyaa me.n thesabhii ke chashm o dil me.n ek shola thaasabhii KHaamosh gum-sum hai.nyahaa.n se kaun jaa.egaayahaa.n par kaun aa.egaaparinda niim-jaa.n kam-sinqafas me.n jaa chukaa kab kaahidaayat-kaar kii aa.nkho.n me.n lauT aa.ii hai viiraaniijo kal KHaalii thaa vo dast-e-talab hai aaj bhii KHaaliilabo.n par lutf-e-andaam-e-nihaa.n kii an-sunii gaalii
vo parda ruu-e-pur-anvaar se uThaa na sakeham apne so.e hu.e baKHt ko jagaa na saketa.Dap ta.Dap ke to bismil ne jaan tak de diivo aab-e-teG ke do ghuu.nT bhii pilaa na sakehamaarii un kii mohabbat rahii isii suuratudhar ba.Dhaa na sake ham idhar ghaTaa na sakehazaar valvale maujuud the tabii.at me.nmagar jab un se milii aa.nkh bhii milaa na sakenazar milaate hii saaqii ne kar diyaa be-KHudpilaa.ii aisii ki phir hosh me.n ham aa na sakena puuchh qissa-e-be-chaargii-e-ishq na puuchhye raaz vo hai kisii ko jo ham bataa na sakejanaab-e-'nuur' hame.n to miTaa diyaa lekinhamaare naqsh-e-mohabbat ko vo miTaa na sake
lo aa ga.ii hai.n vo ban kar muhiib tasviire.nvo aarzu.e.n ke jin kaa kiyaa thaa KHuu.n mai.n nelo aa ga.e hai.n vahii pairvaan-e-ahramankiyaa thaa jin ko siyaasat se sar-niguu.n mai.n nekabhii na jaan pe dekhaa thaa ye azaab-e-aliimkabhii nahii.n ai mere baKHt-e-vaazhguu.n mai.n nemagar ye jitnii aziyyat bhii de.n mujhe kam haikiyaa hai ruuh ko apnii bahut zubuu.n mai.n neise na hone diyaa mai.n ne ham-navaa-e-shabaabna is pe chalne diyaa shauq kaa fusuu.n mai.n neai kaash chhup ke kahii.n ik gunaah kar letaahalaavato.n se javaanii ko apnii bhar letaagunaah ek bhii ab tak kiyaa na kyuu.n mai.n ne
ai KHushaa-azm parvaaz kaa ye safarjhilmilaa.ii jahaan-e-digar kii saharvaa hu.ii aadmii par na.ii rahguzarraqs kar zindagii zindagii raqs kar
'ain-mumkin hai Duub jaa.e.n hamham jo kachche makaa.n ke baasii hai.ndasht-e-be-aasmaa.n ke baasii hai.nham jo daaman me.n kuchh nahii.n rakhtebebasii aur be-kasii ke sivaaapne aa.ngan me.n kuchh nahii.n rakhtesaKHtii-e-'umr-o-muflisii ke sivaaham ki vo dard-aashnaa jin par'umr-bhar vaqt mehrbaa.n na hu.aaaaj tak baKHt mehrbaa.n na hu.aaham jinhe.n ziist ke gulistaa.n seraahato.n kii havaa nahii.n aa.iiham jinhe.n kuucha-haa-e-yaaraa.n sehamdamii kii sadaa nahii.n aa.iiham jinhe.n ulfato.n ke raste me.napnii hii saadgii ne luuTaa haihar na.ii dostii ne luuTaa haiham jinhe.n zindagii kaa paas to haipar jinhe.n zindagii se pyaar nahii.nham jo har lahza muskuraate hai.npar jinhe.n ek pal qaraar nahii.nab tire KHvaab ko vafaa karnesuu-e-saahil chale to hai.n lekin'ain-mumkin hai Duub jaa.e.n ham
vo ek daraKHtkha.Daa hii rahtaa thaahamesha hamesha se
KHudaayaa sab ko judaa tuu ne zindagii baKHshiikalii ko loch diyaa phuul ko ha.nsii baKHshiija.De hazaaro.n guhar kahkashaa.n kii zulfo.n me.nsahar ko nuur diyaa shab ko chaa.ndnii baKHshiiru-pahlii sub.h ke lab ko ataa kiye naGmesunahrii shaam ke ho.nTo.n ko baa.nsurii baKHshiizamii.n pe Guncha-o-gul ko mahak inaayat kiifalak pe maah-o-surayyaa ko raushnii baKHshiihar ek zarra-e-sahraa ko dii jilaa tuu nehar ek qatra-e-shabnam ko aarsii baKHshiitaraa.iyo.n me.n maveshii charaane vaalo.n kogalaa suriilaa diyaa raag raagnii baKHshiikisaan menD pe baiThe jo dhuup khaate hai.nunhe.n zamiin kii daulat harii-bharii baKHshiishabaab-o-husn kii saaGar-ba-kaf hasiina kolabo.n kii naazukii zulfo.n kii barhamii baKHshiijavaaniyo.n kii hasii.n niim baaz aa.nkho.n kosharaab tho.Dii sii dii kuchh Gunuudgii baKHshiijo mutriba ko ataa kii sadaa-e-daa.uudiito rind-e-mast ko miinaa-e-ahmarii baKHshiijo shaa.iro.n pe suKHan kii kitaab naazil kiito vaa.izo.n ko zamii.n kii payambarii baKHshiivo jin kaa jhuuT hai pesha fareb-e-maz.hab haitirii KHudaa.ii ne un ko tavangarii baKHshiihazaaro.n murtashiyo.n ko tirii mashiyyat netilaa.ii baKHt diyaa ziist nuqra.ii baKHshiibuland-o-surKH makaano.n me.n rahne vaalo.n kosuruur-o-kaif inaayat kiyaa KHushii baKHshiimagar azal me.n KHataa kyaa 'salaam' ne kii thiiki is Gariib kii qismat ko muflisii baKHshii
sunahraa parindajo chaaro.n anaasir kii yakjaa.ii seik anokhaa saa maanuus manzar banaa.ezamaano.n ke qisse sune aur sunaa.eki jab mai.n ne suuraj ko dekhaa nahii.n thaavahii.n thaa vahii.n thaavo zar-baft kirno.n kaa paalaadariiche me.n hai saa.ato.n kaa ujaalaakabhii shaam kii aaKHirii raushnii haikabhii sub.h-e-raushan kaa hai vo sapiida
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books