SEARCH RESULTS
Showing search results for "nigaah-e-husn-e-shu.uur"
Sher MATCHES FOR "nigaah-e-husn-e-shu.uur"
Sher
naqsh-o-nigaar-e-husn-e-haqiiqii bhii shai hai kyaa
palke.n tirii lagaa le.n agar muu-qalam me.n ham
Miraash
Sher
mai.n hii nahii.n huu.n shefta-e-husn-e-gandumii
aage se hotii aa.ii hai aadam ko dekhiye
Maroof Dehlvi
Sher
Gam-e-hayaat bhii aaGosh-e-husn-e-yaar me.n hai
ye vo KHizaa.n hai jo Duubii hu.ii bahaar me.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
charaaG-e-husn-e-yuusuf jab ho raushan
rahe phir kis tarah zindaa.n a.ndheraa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kis qadar mo'taqid-e-husn-e-mukaafaat huu.n mai.n
dil me.n KHush hotaa huu.n jab ranj sivaa hotaa hai
Mirza Hadi Ruswa
Sher
ab ke bahaar-e-husn-e-butaa.n hai kamaal par
naaquus ho na jaa.e kaf-e-barhaman me.n phuul
Muneer Shikohabadi
Sher
sharaab-e-husn-o-mohabbat fashurda-e-anjum
aniis-e-shaam-o-sahar hamdam-e-vajuud-o-adam
Izhaar Malihabadi
Sher
duniyaa-e-husn-o-ishq me.n kis kaa zuhuur thaa
har aa.nkh barq-paash thii har zarra tuur thaa
Fani Badayuni
Sher
bazm-e-husn-o-ishq me.n 'akbar' kii afsurda-dilii
daad ke laa.eq nahii.n be-daad ke qaabil nahii.n
Akbar Haideri Kashmiri
Sher
Mardan Ali Khan Rana
Sher
Rizwanullah
Sher
vo mel-jol husn o basiirat me.n ab kahaa.n
jo silsila thaa phuul kaa patthar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ek hii anjaam hai ai dost husn o ishq kaa
sham.a bhii bujhtii hai parvaano.n ke jal jaane ke ba.ad
Akhtar Muslimi
Sher
S A Mehdi
Sher
taasiir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan me.n thii
ik larzish-e-KHafii mire saare badan me.n thii