SEARCH RESULTS
Showing search results for "nishaa"
Sher MATCHES FOR "nishaa"
Sher
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to jab hai ki girto.n ko thaam le saaqii
Allama Iqbal
Sher
apnii tabaahiyo.n kaa mujhe ko.ii Gam nahii.n
tum ne kisii ke saath mohabbat nibhaa to dii
Sahir Ludhianvi
Sher
Hasan Naim
Sher
mujhe dost kahne vaale zaraa dostii nibhaa de
ye mutaalba hai haq kaa ko.ii iltijaa nahii.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
kursii hai tumhaaraa ye janaaza to nahii.n hai
kuchh kar nahii.n sakte to utar kyo.n nahii.n jaate
Irtiza Nishat
Sher
Zehra Nigaah
Sher
bhare makaa.n kaa bhii apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-KHaane me.n raate.n guzaarne vaalaa
Waseem Barelvi
Sher
kyaa puuchhte ho naam-o-nishaan-e-musaafiraa.n
hindostaa.n me.n aa.e hai.n hindostaan ke the
Jaun Eliya
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
Thokar kisii patthar se agar khaa.ii hai mai.n ne
manzil kaa nishaa.n bhii usii patthar se milaa hai
Bismil Saeedi
Sher
KHud apnii mastii hai jis ne machaa.ii hai halchal
nasha sharaab me.n hotaa to naachtii botal
Arif Jalali
Sher
shaam se un ke tasavvur kaa nasha thaa itnaa
nii.nd aa.ii hai to aa.nkho.n ne buraa maanaa hai
Unknown
Sher
ajab nasha hai tire qurb me.n ki jii chaahe
ye zindagii tirii aaGosh me.n guzar jaa.e
Aitbar Sajid
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
vo aadmii nahii.n hai mukammal bayaan hai
maathe pe us ke choT kaa gahraa nishaan hai
Dushyant Kumar
Sher
aaj bhii naqsh hai.n dil par tirii aahaT ke nishaa.n
ham ne us raah se auro.n ko guzarne na diyaa
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
Muneer Niyazi
Sher
chale the jis kii taraf vo nishaan KHatm hu.aa
safar adhuuraa rahaa aasmaan KHatm hu.aa