SEARCH RESULTS
Showing search results for "nishaan-e-rah-guzar"
Sher MATCHES FOR "nishaan-e-rah-guzar"
Sher
mai.n ek sham-e-sar-e-rah-guzaar huu.n 'ajmal'
na jaane kis liye mujh ko bujhaanaa chaahtaa hai
Naseem Ajmal
Sher
kyuu.n tiirgii se is qadar maanuus huu.n 'zafar'
ik sham-e-rah-guzaar ki sahar tak jalii bhii hai
Ahmad Zafar
Sher
aap jis rah-guzar-e-dil se kabhii guzre the
us pe taa-umr kisii ko bhii guzarne na diyaa
Azad Gulati
Sher
rah-guzaar-e-ma.arifat tak ho rasaa.ii yaa na ho
jazba--e-pur-shauq kii vaaraftagii kuchh kam nahii.n
Afsar Narvi
Sher
Gubaar-e-raah chalaa saath ye bhii kyaa kam hai
safar me.n aur ko.ii ham-safar mile na mile
Ghulam Rabbani Taban
Sher
jaanaa pa.Daa raqiib ke dar par hazaar baar
ai kaash jaantaa na tire rah-guzar ko mai.n
Mirza Ghalib
Sher
zindagii vaadii o sahraa kaa safar hai kyuu.n hai
itnii viiraan mirii raah-guzar hai kyuu.n hai
Ibrahim Ashk
Sher
rah-guzar kaa hai taqaazaa ki abhii aur chalo
ek ummiid jo manzil ke nishaa.n tak pahu.nchii
Muzaffar Abdali
Sher
Shaz Tamkanat
Sher
Iqbal Kausar
Sher
chaahaa thaa Thokaro.n me.n guzar jaa.e zindagii
logo.n ne sa.ng-e-raah samajh kar haTaa diyaa
Salik Lakhnavi
Sher
Aslam Mahmood
Sher
nigaah o dil ke paas ho vo meraa aashnaa rahe
havas hai yaa ki ishq hai ye kaun sochtaa rahe