SEARCH RESULTS
Showing search results for "nok"
Sher MATCHES FOR "nok"
Sher
ik shaKHs kar rahaa hai abhii tak vafaa kaa zikr
kaash us zabaa.n-daraaz kaa mu.nh noch le ko.ii
Jaun Eliya
Sher
gulshan se ko.ii phuul mayassar na jab hu.aa
titlii ne raakhii baa.ndh dii kaa.nTe kii nok par
Lucky farooqi Hasrat
Sher
us ne hamaare zaKHm kaa kuchh yuu.n kiyaa ilaaj
marham bhii gar lagaayaa to kaa.nTo.n kii nok se
Iftikhar Sagar
Sher
ham se tai hogaa zamaane me.n bulandii kaa vaqaar
nok-e-neza se bhii ham niiche nahii.n dekhe.nge
Safar Naqvi
Sher
achchhaa ye karam ham pe tuu sayyaad kare hai
par noch ke ab qaid se aazaad kare hai
Rifat Sarosh
Sher
bosa-e-aariz mujhe dete hu.e Dartaa hai kyuu.n
luu.ngaa kyaa nok-e-zabaa.n se tere ruKH kaa til uThaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
anaa kaa sirf mohabbat ilaaj hai 'aafaaq'
tuu nok vaale musallas ko daa.ere me.n milaa
Sabir Aafaque
Sher
mauja-e-ashk se bhiigii na kabhii nok-e-qalam
vo anaa thii ki kabhii dard na jii kaa likkhaa
Hasan Naim
Sher
ham apne baaG ke phuulo.n ko noch Daalte hai.n
jab iKHtilaaf ko.ii baaGbaa.n se hotaa hai
Asim Wasti
Sher
bosa dahan kaa us ke na paa.e.nge apne lab
daaGii hai mai.n ne nok zabaan-e-savaal kii
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
hamaare purkho.n ne juute kii nok par rakkhii
hamaare paas bhii duniyaa tabhii nahii.n aatii
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
qissa-e-barhana-paa.ii ko mire ai majnuu.n
KHaar se puuchh ki sab nok-e-zabaa.n hai us ko
Qayem Chaandpuri
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
neze kii nok teraa tah-e-dil se shukriya
ab tak giraa nahii.n hai miraa sar zamiin par
Usman Minai
Sher
mai.n ne noch ke phe.nkii.n jo shikne.n chaadar se
vo sab shikne.n duniyaa maathe par le aa.ii
Muzaffar Warsi
Sher
shaiKH-jii rindo.n me.n jis din pha.ns ga.e
un kii daa.Dhii noch Daalii jaa.egii