SEARCH RESULTS
Showing search results for "notice"
Sher MATCHES FOR "notice"
Sher
kah rahaa hai shor-e-dariyaa se samundar kaa sukuut
jis kaa jitnaa zarf hai utnaa hii vo KHaamosh hai
Natiq Lakhnavi
Sher
ai sham.a tujh pe raat ye bhaarii hai jis tarah
mai.n ne tamaam umr guzaarii hai is tarah
Natiq Lakhnavi
Sher
tum aise achchhe ki achchhe nahii.n kisii ke saath
mai.n vo buraa ki kisii kaa buraa nahii.n kartaa
Natiq Gulavthi
Sher
guftuguu der se jaarii hai natiije ke baGair
ik na.ii baat nikal aatii hai har baat ke saath
Aitbar Sajid
Sher
mar mar ke agar shaam to ro ro ke sahar kii
yuu.n zindagii ham ne tirii duurii me.n basar kii
Natiq Lakhnavi
Sher
kis ko mehrbaa.n kahiye kaun mehrbaa.n apnaa
vaqt kii ye baate.n hai.n vaqt ab kahaa.n apnaa
Natiq Gulavthi
Sher
dil ke mu.aamale me.n natiije kii fikr kyaa
aage hai ishq jurm-o-sazaa ke maqaam se
Sahir Ludhianvi
Sher
ibtidaa se aaj tak 'naatiq' kii ye hai sarguzisht
pahle chup thaa phir hu.aa diivaana ab behosh hai
Natiq Lakhnavi
Sher
zaahir na thaa nahii.n sahii lekin zuhuur thaa
kuchh kyuu.n na thaa jahaan me.n kuchh to zaruur thaa
Natiq Gulavthi
Sher
hamaare aib me.n jis se madad mile ham ko
hame.n hai aaj kal aise kisii hunar kii talaash
Natiq Gulavthi
Sher
Natiq Lakhnavi
Sher
dil rahe yaa na rahe zaKHm bhare yaa na bhare
chaarasaazo.n kii KHushaamad mujhe manzuur nahii.n
Natiq Lakhnavi
Sher
is baar milii hai jo natiije me.n buraa.ii
kaam aa.ii hai apnii ko.ii achchhaa.ii hamaare