SEARCH RESULTS
Showing search results for "nuur-e-aariz-e-rashk-e-qamar"
Sher MATCHES FOR "nuur-e-aariz-e-rashk-e-qamar"
Sher
misl-e-aa.iina hai us rashk-e-qamar kaa pahluu
saaf idhar se nazar aataa hai udhar kaa pahluu
Meer Khaleeq
Sher
ghar mire shab ko jo vo rashk-e-qamar aa niklaa
ho ga.e partav-e-ruKH se dar o diivaar safed
Amanat Lakhnavi
Sher
baarhaa paas-e-adab se na ga.e us ke qariib
baarhaa duur se us rashk-e-qamar ko dekhaa
Dr. Ahmar Rifai
Sher
matlab hai miraa aariz-e-pur-nuur kaa jalva
aashiq huu.n tiraa naam ko banda huu.n KHudaa kaa
Naseem Dehlvi
Sher
Imdad Ali Bahr
Sher
us rashk-e-chaman ke ta.ii.n gar dekhne paa.uu.n
marne se jo bach jaa.uu.n to phuulaa na samaa.uu.n
Ishrat Bareilvi
Sher
aayaa thaa shab ko chhup ke vo rashk-e-chaman so aah
phailii ye ghar me.n buu ki mohalla mahak gayaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Ibn-e-Insha
Sher
mujh ko KHayaal-e-abruu-e-KHamdaar ho gayaa
KHanjar tiraa gale kaa mire haar ho gayaa
Nooh Narvi
Sher
ye kaisii bahaar-e-chaman aa.ii ki chaman me.n
viiraana hii viiraana hai taa-hadd-e-nazar aaj
Kaleem Aajiz
Sher
agar sukuun se umr-e-aziiz khonaa ho
kisii kii chaah me.n KHud ko tabaah kar liije
Javed Kamal Rampuri
Sher
Rizwanullah
Sher
jaa ke ab naar-e-jahannam kii KHabar le zaahid
naddiyaa.n bah ga.ii.n ashko.n kii gunahgaaro.n me.n
Muztar Khairabadi
Sher
naar-o-jannat kii sunaataa hai KHabar yuu.n vaa.iz
jaise aKHbaar vahaa.n se tire naam aataa hai
Machis Lakhnavi
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
shaamil na hote husn ke jalve agar 'kamaal'
hotaa kahaa.n ye nuur shab-e-maahtaab me.n
Zahida Kamal
Sher
rashk-e-jinaa.n chaman ko banaanaa basant kaa
har har kalii me.n rang dikhaanaa basant kaa