SEARCH RESULTS
Showing search results for "paa-e-nigaah-e-ahl-e-nazar"
Sher MATCHES FOR "paa-e-nigaah-e-ahl-e-nazar"
Sher
manzil na milii kashmakash-e-ahl-e-nazar me.n
is bhii.D se mai.n apnii nazar le ke chalaa huu.n
Salik Lakhnavi
Sher
kitnaa tanik safaa hai ki paa-e-nigaah kaa
halkaa saa ik Gubaar hai chehre ke rang par
Nazeer Akbarabadi
Sher
ro.e.n na abhii ahl-e-nazar haal pe mere
honaa hai abhii mujh ko KHaraab aur ziyaada
Asrarul Haq Majaz
Sher
jo kam-nigaah the vahii ahl-e-nazar bane
ham ko hamaare diida-e-biinaa se kyaa milaa
Mubarak Mungeri
Sher
ham aise ahl-e-nazar ko subuut-e-haq ke liye
agar rasuul na hote to sub.h kaafii thii
Josh Malihabadi
Sher
yuu.n to ham ahl-e-nazar hai.n magar anjaam ye hai
Dhuu.nDte Dhuu.nDte kho dete hai.n biinaa.ii tak
Shahzad Ahmad
Sher
is raah se guzre the kabhii ahl-e-nazar bhii
is KHaak ko chehre pe milo aa.nkh me.n Daalo
Shahzad Ahmad
Sher
aa.nkh uThaa ke merii samt ahl-e-nazar na dekh paa.e
aa.nkh na ho to kis qadar sahl hai dekhnaa mujhe
Shahzad Ahmad
Sher
Sahir Hoshiyarpuri
Sher
hai raam ke vajuud pe hindostaa.n ko naaz
ahl-e-nazar samajhte hai.n us ko imaam-e-hind
Allama Iqbal
Sher
Shahzad Ahmad
Sher
muusaa ke sar pe paa.nv hai ahl-e-nigaah kaa
us kii galii me.n KHaak u.Dii koh-e-tuur kii
Qalaq Merathi
Sher
vo ek shaKHs jo mahfil me.n boltaa thaa bahut
sunaa hai ahl-e-nazar se vo khokhlaa thaa bahut
Pasha Rahman
Sher
vaqt kii laash pe rone ko jigar hai kis kaa
kis janaaze ko liye ahl-e-nazar aate hai.n
Hanif Fauq
Sher
allaah re husn-e-dost kii aa.iina-daariyaa.n
ahl-e-nazar ko naqsh-ba-diivaar kar diyaa