SEARCH RESULTS
Showing search results for "paa.inda-baad"
Sher MATCHES FOR "paa.inda-baad"
Sher
sunaa ke ko.ii kahaanii hame.n sulaatii thii
du.aa.o.n jaisii ba.De paan-daan kii KHushbuu
Bashir Badr
Sher
KHaak ne kitne bad-atvaar kiye hai.n paidaa
ye na hote to usii KHaak se kyaa kyaa hotaa
Anjum Azmi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
suurat na yuu.n dikhaa.e unhe.n baar baar chaa.nd
paidaa kare hasiino.n me.n kuchh e'tibaar chaa.nd
Javed Lakhnvi
Sher
tire javaab kaa itnaa mujhe malaal nahii.n
magar savaal jo paidaa hu.aa javaab ke ba.ad
Ghani Dehlvi
Sher
bahut dino.n me.n taGaaful ne tere paidaa kii
vo ik nigah ki ba-zaahir nigaah se kam hai
Mirza Ghalib
Sher
coat aur patluun jab pahnaa to mister ban gayaa
jab ko.ii taqriir kii jalse me.n leader ban gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
paidaa vo baat kar ki tujhe ro.e.n duusre
ronaa KHud apne haal pe ye zaar zaar kyaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
bas ik nishaan saa baaqii thaa kachche aa.ngan me.n
parinda lauT ke aaya to mar chukaa thaa daraKHt
Wafa Naqvi
Sher
Afeef Siraj
Sher
ba-ma.anii kufr se islaam kab KHaalii hai ai zaahid
nikal sub.he se rishta suurat-e-zunnaar ho paidaa
Waliullah Muhib
Sher
mire marne kaa Gam to be-sabab hogaa ki ab ke baar
mire andar to ko.ii aur paidaa hone vaalaa hai
Sarfaraz Khalid
Sher
Bashir Badr
Sher
ham za.iifo.n ko kahaa.n aamad o shud kii taaqat
aa.nkh kii band hu.aa kuucha-e-jaanaa.n paidaa
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
yaad-e-yaaraa.n dil me.n aa.ii huuk ban kar rah ga.ii
jaise ik zaKHmii parinda jis ke par TuuTe hu.e
Hasan Abidi
Sher
is daf.a bachcha samajh kar chho.De detaa huu.n tujhe
maar Daaluu.ngaa agar baar-e-digar paidaa hu.aa