SEARCH RESULTS
Showing search results for "paas-e-adab"
Sher MATCHES FOR "paas-e-adab"
Sher
ham ne to paas-e-adab me.n banda-parvar kah diyaa
aur vo samjhe ki sach me.n banda-parvar ho ga.e
Manish Shukla
Sher
gar yahii hai paas-e-aadaab-e-sukuut
kis tarah fariyaad lab tak aa.egii
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
paas-e-aadaab-e-vafaa thaa ki shikasta-paa.ii
be-KHudii me.n bhii na ham had se guzarne paa.e
Raza Hamdani
Sher
be-takalluf aa gayaa vo mah dam-e-fikr-e-suKHan
rah gayaa paas-e-adab se qaafiya aadaab kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
tuu hai ma.anii parda-e-alfaaz se baahar to aa
aise pas-manzar me.n kyaa rahnaa sar-e-manzar to aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
har ruuh pas-e-parda-e-tartiib-e-anaasir
naa-karda gunaaho.n kii sazaa kaaT rahii hai
Jamuna Parsad Rahi
Sher
ek aavaaz ne to.Dii hai KHamoshii merii
Dhuu.nDhtaa huu.n to pas-e-saahil-e-shab kuchh bhii nahii.n
Alimullah Hali
Sher
jaane kis kis kaa galaa kaTtaa pas-e-parda-e-ishq
khul ga.e merii shahaadat me.n sitamgar kitne
Hosh Jaunpuri
Sher
kaun royaa pas-e-diivaar-e-chaman aaKHir-e-shab
kyuu.n sabaa lauT ga.ii raahguzar se puuchho
Anwar Moazzam
Sher
pinhaa.n hai.n sad-savaal pas-e-parda-e-hayaa
dil de diyaa javaab thaa lekin rahe KHamosh
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
Saleem Kausar
Sher
paas-e-pindaar-e-tabii.at dil agar rakh le to kyaa
hai vajuud-e-dard mohkam zabt-e-Gam kar le to kyaa
Ziauddin Ahmad Shakeb
Sher
Obaidullah Aleem
Sher
ye baato.n me.n narmii ye tahziib-o-aadaab
sabhii kuchh milaa ham ko urdu zabaa.n se