SEARCH RESULTS
Showing search results for "paas-e-adab"
Ghazal MATCHES FOR "paas-e-adab"
Ghazal
ab paas-e-adab chho.Diye ab boliye qiimat
baazaar me.n le aa.ii mujhe merii falaakat
Fakhr Zaman
Ghazal
paas-e-aadaab tire husn kaa karte karte
tujh ko dekhaa bhii kabhii huu.ngaa to Darte Darte
Ishq Aurangabadi
Ghazal
baraa.e-paas-e-adab KHaak baiTh saktii hai
tuu baiThii kyo.n nahii.n jab KHaak baiTh saktii hai
Syed Tahir
Ghazal
paas-e-adab me.n josh-e-tamannaa liye hu.e
mai.n bhii huu.n ik hubaab me.n dariyaa liye hu.e
Asghar Gondvi
Ghazal
ba.De sabr-o-tahammul se ba-sad paas-e-adab kaaTe
judaa.ii ik qayaamat thii magar ye roz-o-shab kaaTe
Shauq Mahri
Ghazal
paas-e-adab mujhe unhe.n sharm-o-hayaa na ho
nazzaara-gaah me.n asar-e-maa-sivaa na ho
Bedam Shah Warsi
Ghazal
paas-e-adab se kab tak niichii rahe.n nigaahe.n
shaffaaf aastiine.n jalva-faraash baahe.n
Mani Nagpuri
Ghazal
jin ko paas-e-adab nahii.n 'raaje'
bazm-e-aalam me.n un kaa kaam nahii.n
Maya Khanna Raje Barelvi
Ghazal
gar yahii hai paas-e-aadaab-e-sukuut
kis tarah fariyaad lab tak aa.egii
Munshi Amirullah Tasleem
Ghazal
kabhii ba-paas-e-adab aa.nkh bhii nahii.n uThtii
kabhii zabaan ta.Daptii hai guftuguu ke liye
Talib Dehlavi
Ghazal
mahfil me.n un kii paas-e-adab bhii zaruur thaa
KHaamosh thii zabaan nazar boltii rahii
Abdussamad Khan Qaiser
Ghazal
harf-e-iz.haar ta.Daptaa hai ta.Dapne diije
ye mohabbat hai miyaa.n paas-e-adab maa.nge hai
Shafeeq Abbas
Ghazal
mai.n vasl me.n bhii 'sheftaa' hasrat-talab rahaa
gustaaKHiyo.n me.n bhii mujhe paas-e-adab rahaa
Shefta Mustafa Khan
Ghazal
paas-e-aadaab ki yaa.n der nahii.n lagtii hai
miir-e-zindaa.n ko badalte hu.e zindaanii me.n
Razi Akhtar Shauq
Ghazal
ai dil-e-naadaa.n tujhe bhii chaahiye paas-e-adab
vo jo ruuThe to adhuurii guftuguu rah jaa.egii
Jamill Murassapuri
Ghazal
paas-e-adab kii baat bhii hotii hai shaiKH jii
mahfil me.n yaar jaam thamaa.e to kyaa kare.n