sab ki nazron mein hai ghussa aur lab KHamosh hain
sab kī nazroñ meñ hai ġhussa aur lab ḳhāmosh haiñ
koī kuchh kahtā nahīñ hai sab ke sab ḳhāmosh haiñ
aur kuchh vo haiñ jo sahte haiñ magar kahte nahīñ
un ko hai malhūz bas pās-e-adab ḳhāmosh haiñ
ek chup sī lag ga.ī hai muskurāte tak nahīñ
sānahe logoñ pe guzre haiñ 'ajab ḳhāmosh haiñ
zinda lāshoñ kī tarah jiine lage haiñ log ab
saare jazbe ho chuke haiñ jāñ-balab ḳhāmosh haiñ
amn kā to ab zamāne meñ nishāñ tak bhī nahīñ
amn kī jin ko jahāñ meñ hai talab ḳhāmosh haiñ
kar rahe haiñ sab yahāñ par khul ke iz.hār-e-ḳhayāl
aap bhī kuchh boliye kyoñ be-sabab ḳhāmosh haiñ
hañste chehroñ par ye kaisī dard kī ik chhāp hai
gum haiñ hairat meñ sabhī sāz-e-tarab ḳhāmosh haiñ
sab ki nazron mein hai ghussa aur lab KHamosh hain
koi kuchh kahta nahin hai sab ke sab KHamosh hain
aur kuchh wo hain jo sahte hain magar kahte nahin
un ko hai malhuz bas pas-e-adab KHamosh hain
ek chup si lag gai hai muskuraate tak nahin
sanahe logon pe guzre hain 'ajab KHamosh hain
zinda lashon ki tarah jine lage hain log ab
sare jazbe ho chuke hain jaan-balab KHamosh hain
amn ka to ab zamane mein nishan tak bhi nahin
amn ki jin ko jahan mein hai talab KHamosh hain
kar rahe hain sab yahan par khul ke izhaar-e-KHayal
aap bhi kuchh boliye kyon be-sabab KHamosh hain
hanste chehron par ye kaisi dard ki ek chhap hai
gum hain hairat mein sabhi saz-e-tarab KHamosh hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.