SEARCH RESULTS
Showing search results for "paasa.ng"
Sher MATCHES FOR "paasa.ng"
Sher
mai.n ne har sang ko paasa.ng kiyaa hai din-raat
saKHt-jaanii hii bataa.egii ki lazzat kaisii
Moid Rasheedi
Sher
chup-chaap suntii rahtii hai pahro.n shab-e-firaaq
tasviir-e-yaar ko hai mirii guftuguu pasand
Dagh Dehlvi
Sher
saaqii mujhe sharaab kii tohmat nahii.n pasand
mujh ko tirii nigaah kaa ilzaam chaahiye
Abdul Hamid Adam
Sher
mujhe pasand nahii.n aise kaarobaar me.n huu.n
ye jabr hai ki mai.n KHud apne iKHtiyaar me.n huu.n
Adil Mansuri
Sher
the ham to KHud-pasand bahut lekin ishq me.n
ab hai vahii pasand jo ho yaar ko pasand
Nazeer Akbarabadi
Sher
mujh ko na dil pasand na vo bevafaa pasand
dono.n hai.n KHud-Garaz mujhe dono.n hai.n naa-pasand
Bekhud Dehlvi
Sher
be-gintii bose le.nge ruKH-e-dil-pasand ke
aashiq tire pa.Dhe nahii.n ilm-e-hisaab ko
Haidar Ali Aatish
Sher
duniyaa pasand aane lagii dil ko ab bahut
samjho ki ab ye baaG bhii murjhaane vaalaa hai
Jamal Ehsani
Sher
tirii adaa kii qasam hai tirii adaa ke sivaa
pasand aur kisii kii hame.n adaa na hu.ii
Mubarak Azimabadi
Sher
nuur-e-badan se phailii a.ndhere me.n chaa.ndnii
kap.De jo us ne shab ko utaare pala.ng par
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
pukaarte the mujhe aasmaa.n magar mai.n ne
qayaam karne ko ye KHaak-daa.n pasand kiyaa
Inam Nadeem
Sher
ka.ii tarah ke tahaa.if pasand hai.n us ko
magar jo kaam yahaa.n phuul se nikaltaa hai
Rana Amir Liyaqat
Sher
hame.n pasand nahii.n ja.ng me.n bhii makkaarii
jise nishaane pe rakkhe.n bataa ke rakhte hai.n