SEARCH RESULTS
Showing search results for "pahchaan.naa"
Sher MATCHES FOR "pahchaan.naa"
Sher
yaad use bhii ek adhuuraa afsaana to hogaa
kal raste me.n us ne ham ko pahchaanaa to hogaa
Javed Akhtar
Sher
safar taviil sahii haasil-e-safar ye hai
vahaa.n ko bhuul ga.e aur yahaa.n ko pahchaanaa
Wazir Agha
Sher
mire junuu.n ne zamaane ko KHuub pahchaanaa
vo pairahan mujhe baKHshaa ki paara paara nahii.n
Allama Iqbal
Sher
aadmii pahchaanaa jaataa hai qayaafa dekh kar
KHat kaa mazmuu.n bhaa.np lete hai.n lifaafa dekh kar
Unknown
Sher
ajab tarah se guzaarii hai zindagii ham ne
jahaa.n me.n rah ke na kaar-e-jahaa.n ko pahchaanaa
Wazir Agha
Sher
Kaleem Haider Sharar
Sher
buto.n ko dekh ke sab ne KHudaa ko pahchaanaa
KHudaa ke ghar to ko.ii banda-e-KHudaa na gayaa
Yagana Changezi
Sher
KHud apne Gam hii se kii pahle dostii ham ne
aur us ke baa'd Gam-e-dostaa.n ko pahchaanaa
Wazir Agha
Sher
vo to kahiye aap kii KHushbuu ne pahchaanaa mujhe
itr kah ke jaane kyaa kyaa bechte attaar log
Nomaan Shauque
Sher
Anjum Khaleeq
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
dil pe aa.e hu.e ilzaam se pahchaante hai.n
log ab mujh ko tire naam se pahchaante hai.n
Qateel Shifai
Sher
bas jaan gayaa mai.n tirii pahchaan yahii hai
tuu dil me.n to aataa hai samajh me.n nahii.n aataa
Akbar Allahabadi
Sher
muskuraate hu.e miltaa huu.n kisii se jo 'zafar'
saaf pahchaan liyaa jaaataa huu.n royaa hu.aa mai.n
Zafar Iqbal
Sher
Iftikhar Arif
Sher
tum ye kahte ho ki mai.n Gair huu.n phir bhii shaayad
nikal aa.e ko.ii pahchaan zaraa dekh to lo