SEARCH RESULTS
Showing search results for "pahr"
Sher MATCHES FOR "pahr"
Sher
ye dil kaa dard to umro.n kaa rog hai pyaare
so jaa.e bhii to pahr do pahr ko jaataa hai
Ahmad Faraz
Sher
dii mu.azzin ne shab-e-vasl azaa.n pichhle pahr
haa.e kambaKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
aaTho.n pahr lahuu me.n nahaayaa kare ko.ii
yuu.n bhii na apne dard ko dariyaa kare ko.ii
Fuzail Jafri
Sher
phe.nkaa thaa kis ne sa.ng-e-havas raat KHvaab me.n
phir Dhuu.nDhtii hai nii.nd usii pichhle pahr ko
Aslam Aazad
Sher
rakhe hai shiisha miraa sang saath rabt-e-qadiim
ki aaTh pahr mire dil ko hai shikast se kaam
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Mirza Ghalib
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish 'Gaalib'
ki lagaa.e na lage aur bujhaa.e na bane
Mirza Ghalib
Sher
jo kahaa mai.n ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
ha.ns ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai
Akbar Allahabadi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Ahmad Faraz
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai
Allama Iqbal
Sher
Allama Iqbal
Sher
ik saal gayaa ik saal nayaa hai aane ko
par vaqt kaa ab bhii hosh nahii.n diivaane ko
Ibn e Insha
Sher
mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne diivaaro.n ko apnii aur uu.nchaa kar diyaa