SEARCH RESULTS
Showing search results for "paidaa"
Sher MATCHES FOR "paidaa"
Sher
Allama Iqbal
Sher
nayaa ik rishta paidaa kyuu.n kare.n ham
bichha.Dnaa hai to jhag.Daa kyuu.n kare.n ham
Jaun Eliya
Sher
Allama Iqbal
Sher
tiir khaane kii havas hai to jigar paidaa kar
sarfaroshii kii tamannaa hai to sar paidaa kar
Ameer Minai
Sher
kaun sii jaa hai jahaa.n jalva-e-maashuuq nahii.n
shauq-e-diidaar agar hai to nazar paidaa kar
Ameer Minai
Sher
jis ne is daur ke insaan kiye hai.n paidaa
vahii meraa bhii KHudaa ho mujhe manzuur nahii.n
Hafeez Jalandhari
Sher
paidaa vo baat kar ki tujhe ro.e.n duusre
ronaa KHud apne haal pe ye zaar zaar kyaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
na dekhnaa kabhii aa.iina bhuul kar dekho
tumhaare husn kaa paidaa javaab kar degaa
Bekhud Dehlvi
Sher
bahut sukuun se rahte the ham a.ndhere me.n
fasaad paidaa hu.aa raushnii ke aane se
Alam Khursheed
Sher
dard-e-dil ke vaaste paidaa kiyaa insaan ko
varna taa.at ke liye kuchh kam na the karr-o-bayaa.n
Khwaja Meer Dard
Sher
tere naGmo.n se hai rag rag me.n tarannum paidaa
ishrat-e-ruuh hai zaalim tirii aavaaz nahii.n
Saghar Nizami
Sher
paidaa kahaa.n hai.n aise paraaganda-tab.a log
afsos tum ko 'miir' se sohbat nahii.n rahii
Meer Taqi Meer
Sher
ja.ngalo.n ko kaaT kar kaisaa Gazab ham ne kiyaa
shahr jaisaa ek aadam-KHor paidaa kar liyaa
Farhat Ehsas
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
qatl karne kaa iraada hai magar sochtaa huu.n
tuu agar aa.e to haatho.n me.n jhijak paidaa ho