SEARCH RESULTS
Showing search results for "paikar-e-abr"
Sher MATCHES FOR "paikar-e-abr"
Sher
sunaa kis ne haal meraa ki juu.n abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-du.aa-e-baaraa.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
canvas par hai ye kis kaa paikar-e-harf-o-sadaa
ik numuud-e-aarzuu jo be-nishaa.n hai aur bas
Ashar Najmi
Sher
mai.n tujh ko dast-e-haqiiqat se chhuu ke dekhuu.ngaa
tuu ek paikar-e-KHvaab-o-KHayaal hai jaanaa.n
Riasath Ali Asrar
Sher
allaah allaah ye ha.ngaama-e-paikaar-e-hayaat
ab vo aavaaz bhii dete hai.n to sunte nahii.n ham
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
jo merii chashm ke parde shariik ho jaate
kamaal-e-daaman-e-abr-e-bahaar ba.Dh jaataa
Rasheed Lakhnavi
Sher
bataa ai abr musaavaat kyuu.n nahii.n kartaa
hamaare gaa.nv me.n barsaat kyuu.n nahii.n kartaa
Tahzeeb Hafi
Sher
tamaam paikar-e-badsuurtii hai mard kii zaat
mujhe yaqii.n hai KHudaa mard ho nahii.n saktaa
Farhat Ehsas
Sher
naqsh fariyaadii hai kis kii shoKHi-e-tahriir kaa
kaaGzii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa
Mirza Ghalib
Sher
paikar-e-gul aasmaano.n ke liye betaab hai
KHaak kahtii hai ki mujh saa duusraa ko.ii nahii.n
Shahzad Ahmad
Sher
use bhii parda-e-tahziib ko giraanaa hai
mujhe bhii paikar-e-naayaab se nikalnaa hai
Tahir Adeem
Sher
Syed Masood Hasan Masood
Sher
tishnagii hai mirii aa.nkho.n me.n use milne kii
paikar-e-yaar kaa bhii chaah-e-zaqan khii.nchtaa hai
Asad Awan
Sher
hijaab-e-abr ruKH-e-mahtaab se chhalkaa
vo apne chehre se parde ko jab haTaane lagaa
Amber Waseem Allahabadi
Sher
Makhdoom Mohiuddin
Sher
'Gaalib' chhuTii sharaab par ab bhii kabhii kabhii
piitaa huu.n roz-e-abr o shab-e-maahtaab me.n