SEARCH RESULTS
Showing search results for "paikar-e-paikaar"
Sher MATCHES FOR "paikar-e-paikaar"
Sher
Makhdoom Mohiuddin
Sher
allaah allaah ye ha.ngaama-e-paikaar-e-hayaat
ab vo aavaaz bhii dete hai.n to sunte nahii.n ham
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
tamaam paikar-e-badsuurtii hai mard kii zaat
mujhe yaqii.n hai KHudaa mard ho nahii.n saktaa
Farhat Ehsas
Sher
palko.n par apnii kaun mujhe ab sajaa.egaa
mai.n huu.n vo rang jo tire paikar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
canvas par hai ye kis kaa paikar-e-harf-o-sadaa
ik numuud-e-aarzuu jo be-nishaa.n hai aur bas
Ashar Najmi
Sher
Syed Masood Hasan Masood
Sher
paikar-e-gul aasmaano.n ke liye betaab hai
KHaak kahtii hai ki mujh saa duusraa ko.ii nahii.n
Shahzad Ahmad
Sher
mai.n tujh ko dast-e-haqiiqat se chhuu ke dekhuu.ngaa
tuu ek paikar-e-KHvaab-o-KHayaal hai jaanaa.n
Riasath Ali Asrar
Sher
ye ziist ki hai phuul sii miT jaa.e balaa se
gulchii.n se magar bar-sar-e-paikaar hii rahiye
Owais Ahmad Dauran
Sher
tishnagii hai mirii aa.nkho.n me.n use milne kii
paikar-e-yaar kaa bhii chaah-e-zaqan khii.nchtaa hai
Asad Awan
Sher
naqsh fariyaadii hai kis kii shoKHi-e-tahriir kaa
kaaGzii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa
Mirza Ghalib
Sher
us se milne kii talab me.n jii liye kuchh aur din
vo bhii KHud biite dino.n se bar-sar-e-paikaar thii
Ashhar Hashmi
Sher
use bhii parda-e-tahziib ko giraanaa hai
mujhe bhii paikar-e-naayaab se nikalnaa hai
Tahir Adeem
Sher
Syed Kamran Zubair Kami
Sher
TuuTtaa rahtaa hai mujh me.n KHud miraa apnaa vajuud
mere andar ko.ii mujh se barsar-e-paikaar hai
Obaidur Rahman
Sher
ma.aal-e-zabt-e-paiham ho ga.ii hai
masarrat haasil-e-Gam ho ga.ii hai