SEARCH RESULTS
Showing search results for "paivand"
Sher MATCHES FOR "paivand"
Sher
zindagii kyaa kisii muflis kii qabaa hai jis me.n
har gha.Dii dard ke paivand lage jaate hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
aaKHir ik roz to paivand-e-zamii.n honaa hai
jaama-e-ziist nayaa aur puraanaa kaisaa
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ai junuu.n us kii kahaanii bhii sunaa.uu.ngaa tujhe
ye jo paivand mire chaak me.n dekhaa gayaa hai
Ashfaq Nasir
Sher
haalat dil-e-betaab kii dekhii nahii.n jaatii
behtar hai ki ho jaa.e ye paivand zamii.n kaa
Ahsan Marahravi
Sher
paivand kii tarah nazar aataa hai bad-numaa
puKHta makaan kachche gharo.n ke hujuum me.n
Owais Ahmad Dauran
Sher
Tuk.De hu.e the daaman-e-hastii ke jis qadar
dalq-e-gadaa-e-ishq ke paivand ho ga.e
Saba Akbarabadi
Sher
Zahid Masood
Sher
dekhnaa zor hii gaa.nThaa hai dil-e-yaar se dil
sa.ng-o-shiishe ko kiyaa hai mai.n hunar se paivand
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
harfo.n ke mile jo.D ba.Dhaa husn raqam kaa
har lafz ke paivand me.n baKHiya hai qalam kaa
Naseem Dehlvi
Sher
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
raat to vaqt kii paaband hai Dhal jaa.egii
dekhnaa ye hai charaaGo.n kaa safar kitnaa hai
Waseem Barelvi
Sher
ab to utnii bhii mayassar nahii.n mai-KHaane me.n
jitnii ham chho.D diyaa karte the paimaane me.n
Divakar Rahi
Sher
sab ik charaaG ke parvaane honaa chaahte hai.n
ajiib log hai.n diivaane honaa chaahte hai.n
Asad Badayuni
Sher
chup-chaap suntii rahtii hai pahro.n shab-e-firaaq
tasviir-e-yaar ko hai mirii guftuguu pasand
Dagh Dehlvi
Sher
saaqii mujhe sharaab kii tohmat nahii.n pasand
mujh ko tirii nigaah kaa ilzaam chaahiye
Abdul Hamid Adam
Sher
ko.ii paaband-e-mohabbat hii bataa saktaa hai
ek diivaane kaa zanjiir se rishta kyaa hai