SEARCH RESULTS
Showing search results for "pakaa.e"
Sher MATCHES FOR "pakaa.e"
Sher
tabaah kar ga.ii pakke makaan kii KHvaahish
mai.n apne gaa.nv ke kachche makaan se bhii gayaa
Shahid Kabir
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
aa.nkho.n ko pho.D Daaluu.n yaa dil ko to.D Daaluu.n
yaa ishq kii paka.D kar gardan maro.D Daaluu.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tumhe.n hamesha zaruurat paka.D ke laatii hai
kabhii to aa.o mire ghar mire havaale se
Dr. Yasin Aatir
Sher
itnii na ba.Dhaa paakii-e-daamaa.n kii hikaayat
daaman ko zaraa dekh zaraa band-e-qabaa dekh
Shefta Mustafa Khan
Sher
Saifuddin Saif
Sher
Gurbat kii tez aag pe aksar pakaa.ii bhuuk
KHush-haaliyo.n ke shahr me.n kyaa kuchh nahii.n kiyaa
Iqbal Sajid
Sher
pakkaa rasta kachchii sa.Dak aur phir pagDanDii
jaise ko.ii chalte chalte thak jaataa hai
Saud Usmani
Sher
phir yuu.n hu.aa ki sabr kii u.nglii paka.D ke ham
itnaa chale ki raaste hairaan rah ga.e
Unknown
Sher
sabaq milaa hai ye apno.n kaa tajraba kar ke
vo log phir bhii Ganiimat hai.n jo paraa.e hai.n
Amir Usmani
Sher
Alam Khursheed
Sher
qatiil apnaa muqaddar Gam se begaana agar hotaa
to phir apne paraa.e ham se pahchaane kahaa.n jaate
Qateel Shifai
Sher
pak.De jaate hai.n farishto.n ke likhe par naa-haq
aadmii ko.ii hamaaraa dam-e-tahriir bhii thaa
Mirza Ghalib
Sher
Shaukat Pardesi
Sher
mai.n dau.D dau.D ke KHud ko paka.D ke laataa huu.n
tumhaare ishq ne bachchaa banaa diyaa hai mujhe
Liaqat Jafri
Sher
paara-e-dil hai vatan kii sarzamii.n mushkil ye hai
shahr ko viiraan yaa is dil ko viiraana kahe.n