SEARCH RESULTS
Showing search results for "panah"
Sher MATCHES FOR "panah"
Sher
tire sivaa bhii kahii.n thii panaah bhuul ga.e
nikal ke ham tirii mahfil se raah bhuul ga.e
Majrooh Sultanpuri
Sher
ik KHauf-e-be-panaah hai aa.nkho.n ke aar-paar
taariikiyo.n me.n Duubtaa lamha hai saamne
Sultan Akhtar
Sher
miltii nahii.n panaah hame.n jis zamiin par
ik hashr us zamii.n pe uThaa denaa chaahiye
Muneer Niyazi
Sher
bachcho.n ko bhuuke peT sulaane ke baad ham
kaise Gazal ke sher sunaa.e.n jahaa.n-panaah
Ehya Bhojpuri
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
har ek ranj usii baab me.n kiyaa hai raqam
zaraa saa Gam thaa jise be-panaah mai.n ne kiyaa
Irfan Sattar
Sher
jab apnii sar-zamiin ne mujh ko na dii panaah
anjaan vaadiyo.n me.n utarnaa pa.Daa mujhe
Adeel Zaidi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ga.nvaa.e baiThe hai.n aa.nkho.n kii raushnii 'shaahid'
jahaa.n-panaah kaa insaaf dekhne vaale
Shahid Meer
Sher
'raasiKH' kii faaqa-mastii se allaah kii panaah
khaataa hai suukhe Tuk.De bhigo kar sharaab me.n