SEARCH RESULTS
Showing search results for "panjaa"
Sher MATCHES FOR "panjaa"
Sher
asiir-e-panja-e-ahd-e-shabaab kar ke mujhe
kahaa.n gayaa miraa bachpan KHaraab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
dariyaa me.n vo dhoyaa thaa kabhii dast-e-hinaa.ii
hasrat se vahii.n panja-e-marjaa.n me.n lagii aag
Maatam Fazl Mohammad
Sher
KHvaabo.n kii tarah aanaa KHushbuu kii tarah jaanaa
mumkin hii nahii.n lagtaa ai dost tujhe paanaa
athar shakeel
Sher
usii kii tarah mujhe saaraa zamaanaa chaahe
vo miraa hone se zyaada mujhe paanaa chaahe
Kumar Vishwas
Sher
dekhuu.n to jurm aur na dekhuu.n to kufr hai
ab kyaa kahuu.n jamaal-e-ruKH-e-fitnagar ko mai.n
Panna Lal Noor
Sher
mujh ko paanaa hai to phir mujh me.n utar kar dekho
yuu.n kinaare se samundar nahii.n dekhaa jaataa
Razi Akhtar Shauq
Sher
us vaqt dil miraa tire panje ke biich thaa
jis vaqt tuu ne haat lagaayaa thaa haat ko
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Akhilesh Tiwari
Sher
dil ko to bahut pahle se dha.Dkaa saa lagaa thaa
paanaa tiraa shaayad tujhe khone ke liye hai
Haider Qureshi
Sher
us ko khonaa asl me.n us ko paanaa hai
haasil kaa hii partav hai laa-haasil me.n
Krishna Kumar Toor
Sher
mai.n shauq-e-vasl me.n kyaa rail par shitaab aayaa
ki sub.h hind me.n thaa shaam pa.nj-aab aayaa
Mardan Ali Khan Rana
Sher
fasaana ab ko.ii anjaam paanaa chaahtaa hai
ta.alluq TuuTne ko ik bahaana chaahtaa hai
Humaira Rahat
Sher
avaamunnaas ko aise dabochaa hai giraanii ne
ki jaise cat ke panje me.n ko.ii rat hotaa hai
Sarfaraz Shahid
Sher
zehn kii qaid se aazaad kiyaa jaa.e use
jis ko paanaa nahii.n kyaa yaad kiyaa jaa.e use
Salim Saleem
Sher
hai roz-e-panj-shamba tuu faatiha dilaa de
ghar tere kushtagaa.n kii ruuhe.n na aa.iyaa.n ho.n