SEARCH RESULTS
Showing search results for "paro.n"
Sher MATCHES FOR "paro.n"
Sher
Jaun Eliya
Sher
kaa.nTo.n me.n ghire phuul ko chuum aa.egii lekin
titlii ke paro.n ko kabhii chhilte nahii.n dekhaa
Parveen Shakir
Sher
jaatii hai dhuup ujle paro.n ko sameT ke
zaKHmo.n ko ab ginuu.ngaa mai.n bistar pe leT ke
Shakeb Jalali
Sher
mat baiTh aashiyaa.n me.n paro.n ko sameT kar
kar hausla kushaada fazaa me.n u.Daan kaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
a.ng.Daa.ii dono.n haath uThaa kar jo us ne lii
par lag ga.e paro.n ne parii ko u.Daa diyaa
Mirza Raza Barq
Sher
abhii to pahle paro.n kaa bhii qarz hai mujh par
jhijak rahaa huu.n na.e par nikaaltaa hu.aa mai.n
Shahid Zaki
Sher
tum ne sirf chaahaa hai ham ne chhuu ke dekhe hai.n
pairahan ghaTaa.o.n ke jism barq-paaro.n ke
Sahir Ludhianvi
Sher
ham ruu-ba-ruu-e-sham.a hai.n is intizaar me.n
kuchh jaa.n paro.n me.n aa.e to u.D kar nisaar ho.n
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
jis ne mah-paaro.n ke dil pighlaa diye
vo to merii shaa.erii thii mai.n na thaa
Abdul Hamid Adam
Sher
paro.n ko khol de zaalim jo band kartaa hai
qafas ko le ke mai.n u.D jaa.uu.ngaa kahaa.n sayyaad
Rind Lakhnavi
Sher
garmii me.n tere kuucha-nashiino.n ke vaaste
pa.nkhe hai.n qudsiyo.n ke paro.n ke bahisht me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
ba.Dhaanaa haath paka.Dne ko rang muTThii me.n
to titliyo.n ke paro.n kaa daraaz ho jaanaa
Fayyaz Farooqi
Sher
KHvaahish kii titliyo.n ne mulaa.em paro.n ke saath
dastak jahaa.n pe dii vo tumhaaraa hii dar to hai
Nasira Zuberi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
chup-chaap suntii rahtii hai pahro.n shab-e-firaaq
tasviir-e-yaar ko hai mirii guftuguu pasand
Dagh Dehlvi
Sher
tumhaare paa.o.n ke niiche ko.ii zamiin nahii.n
kamaal ye hai ki phir bhii tumhe.n yaqiin nahii.n
Dushyant Kumar
Sher
royaa kare.nge aap bhii pahro.n isii tarah
aTkaa kahii.n jo aap kaa dil bhii mirii tarah
Momin Khan Momin
Sher
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai pahro.n zikr tumhaaraa tabiib se