SEARCH RESULTS
Showing search results for "paro.n"
Ghazal MATCHES FOR "paro.n"
Ghazal
paro.n ko khol zamaana u.Daan dekhtaa hai
zamii.n pe baiTh ke kyaa aasmaan dekhtaa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
kaa.nTo.n me.n ghire phuul ko chuum aa.egii lekin
titlii ke paro.n ko kabhii chhilte nahii.n dekhaa
Parveen Shakir
Ghazal
fazaa-e-shauq me.n us kii bisaat hii kyaa thii
parind apne paro.n kaa nishaana ho gayaa hai
Irfan Siddiqi
Ghazal
u.Daan vaalo u.Daano.n pe vaqt bhaarii hai
paro.n kii ab ke nahii.n hauslo.n kii baarii hai
Waseem Barelvi
Ghazal
lahuu-luhaan pa.Daa thaa zamii.n par ik suuraj
parinde apne paro.n se havaa.e.n karne lage
Rahat Indori
Ghazal
apne saudaa-zadagaa.n se ye kahaa hai us ne
chal ke ab aa.iyo pairo.n pe saro.n ke hote
Jaun Eliya
Ghazal
har chand raakh ho ke bikharnaa hai raah me.n
jalte hu.e paro.n se u.Daa huu.n mujhe bhii dekh
Shakeb Jalali
Ghazal
u.D gayaa to shaaKH kaa saaraa badan jalne lagaa
dhuup rakh lii thii parinde ne paro.n ke darmiyaa.n
Bashir Farooqi
Ghazal
chamak rahii hai paro.n me.n u.Daan kii KHushbuu
bulaa rahii hai bahut aasmaan kii KHushbuu
Bashir Badr
Ghazal
paro.n me.n tiir hai panjo.n me.n tinke
mai.n ye chi.Diyaa u.Daanaa chaahtaa huu.n
Fahmi Badayuni
Ghazal
tum ne sirf chaahaa hai ham ne chhuu ke dekhe hai.n
pairahan ghaTaa.o.n ke jism barq-paaro.n ke
Sahir Ludhianvi
Ghazal
paro.n me.n simTaa to Thokar me.n thaa zamaane kii
u.Daa to ek zamaana mirii u.Daan me.n thaa
Waseem Barelvi
Ghazal
uu.nchii u.De.n havaa me.n bachcho.n ko par na bhuule.n
in be-paro.n kaa un ko rozii-rasaa.n banaayaa
Ismail Merathi
Ghazal
jis ne mah-paaro.n ke dil pighlaa diye
vo to merii shaa.erii thii mai.n na thaa
Abdul Hamid Adam
Ghazal
ye kah ga.e hai.n musaafir luTe gharo.n vaale
Dare.n havaa se parinde khule paro.n vaale
Mohsin Naqvi
Ghazal
vo khurdurii chaTaane.n vo dariyaa vo aabshaar
sab kuchh sameT le ga.ii apne paro.n me.n raat